Robot kya hai, janiye kaise karte hai kaam

Robot kya hai? Aur Kaise Kam Karta Hai ? Robot Kitne Tarah Ke Hote Hai? Is Tarah ke sawal Aksar Kai log Kiya Karte Hai? Kuchh log kahate Hai Ki kya Robot Insan Ki Tarah hi kam kar sakte Hai? Films Mein Jis Tarah Ham Robot ko dekhte Hai vah bahut jyada advance Roop mein rahte Hai.

Robot ko dekh kar Man Mein Ek Sawal aata hai ki kya Hamare vaigyanikon Ne Bhi Is Tarah ka Robot Bana liya hai? Robot ke bare mein Har Kise ne suna hi hoga Lekin Robot ke bare mein sahi Jankari Shayad aapke pass Nahi Hai ?

  ? (what is Robot)

Robot Ek Tarah ki machine hai, jo computer se Dale Gaye program ke Madhyam Se nirdeshan Ke Aadhar per kam Karte Hai. Robot Mushkil kamo ko bhi saralta se pura karne mein Saksham Hote Hai. Robot mechanical software aur Electronic Engineering Ka mishran Karke Banaye Jate Hai.

Robot Ek tarah ki machine hi hai, jo Jyada kam ko ek hi Gati aur Sahi tarike ke sath pura Karte Hai. bahut Sare Robot ko control karne ke liye external control device ka upyog Kiya Jata Hai jabki kai Robot Aise Hai Jahan control karne ke liye unke andar hi control device ko fit Kiya jata hai.

Robot ka size or shape Se Koi Lena Dena Nahi Hota. Kai vyakti Kahate Hai Ki Jo manushya Jaisa Hubahu Dikhta Hai usi ko Robot Kahate Hai, lekin yah bilkul galat hai Robot Kisi group ka ho sakta hai, ya Uske kam per bhi Depend hota hai. Yah vaigyanik par Depend karta hai, ki vah Robot se kya kam Lena Chahte Hai, vah Use vahi shape Mein banate Hai.

yadi Insan Jaise dikhne wale Robot banaye Jaate Hai To vah Insan ke Hi Kam Karenge na? jabki Inhe To bahut bade bade Aakar main Banaya Ja sakta hai, jo heavy engineering aur Bade Aakar ki machine ko Banane Mein kaam mein liye Ja sakte Hai.

Technology kafi Aage badh Gai Jiske Chalte Hamen naye Saman ke Robot dekhne Ko Mil Rahe Hai. yah Robot Healthcare aur emotional support ka pura Dhyan rakhte Hai. Aaj Ham janenge ki Aakhir vah kaun se Robot Hote jo emotional support ka pura Khyal Rakh sakte Hai?

Walker Robot :-

UB Tag Robot ics Inc Humanoid biPedal Robot Pahle ki tulna mein ab aur bhi jyada upgrade ho chuka hai. ab is Robot Mein bhujao our Hathon ko bhi Jod Diya Hai, jisse yah Kafi upgrade ho gaya hai. upgrade hone ke bad yah Robot aap kesi bhi Vastu ko Kafi majbooti ke sath pakad kar uska adan pradan aasani se kar sakta hai. Walker company ka ya sabse Jyada advance Robot hai.

Robot Kai tarike se chal sakta hai aur khud ka balance bana sakta hai, Sath hi Apne Hathon aur Aankhon Mein talmel Bhi aasani se Rakh sakta hai. yadi kisi Tarah Ki Koi pareshani Aati Hai To yah usse aasani se buch sakta hai aur Chehre vah chijon ko aasani se pahchan sakta hai. is Robot ki madad se aap apne Kai important kamo ko aasani se pura kar sakte Hai.

Artie 3000 Robot :-

Bacchon ko coding sikhane Mein yah Robert Kafi madad karta hai hai is Robert ki madad se bacche simple aur Complex design ko imaging kar sakte Hai. aur unhen kisi bhi Device per code kar sakte Hai. Build-in wi-fi service aap inhen desktop PC smartdevice Tablet ke sath compatible kar sakte hai. inhen play karne ke liye aapko Kisi bhi Tarah Ke internet connectivity ki jarurat Nahin Hoti Hai.

KiKi Robot :-

KiKi Ek majedar Robot hai Iske Kan Billi Ke Kan Jaise Hai. Kiki Robot AI Se a powered Hai yani ki sthiti ko Dekhte Hue aur Samay ke sath yah insanon ke alag alag vyavhar per alag alag pratikriya Dena sakta hai. yadi kisi vyakti ke Chehre ko yah Ek Bar Dekh leta hai To vah Badi aasani se us vyakti ko track kar sakta hai.

Kisi Karan ki vajah se yadi aap upset hai to yah Robot aap ki Udasi ko pahchan sakta hai. Jab is Robot ko lagta hai ki aap Udaas Hai To to yah aapko gana ga kar aur Nach Kar Khush karne ki koshish bhi karne lag jata hai.

Lovot Robot :-

Lovot Robot ki badi badi Aankhein sabse Jyada aakarshak hoti hai. Jab aap is Robot ko touch Karte Hai To Yah khush ho jata hai. yeah Robot logo ki Bhavna ko hack karne ke liye taiyar ho gaya hai. Home Robot ke ghar mein idhar udhar Ghumta bhi hai aur aapko Gale Lagane ke liye bhi jata hai. yeah Robot thik vesa hi vyvhar karta hai, jese yah aapke ghar ka paltu Janwar Ho. vaise to Lovot Robot bolata Nahi hai lekin fir bhi vah kabhi kabhi billi ki awaaz nikalta Hai, To Kabhi function Ki Tarah Chahe Chahat Hoga aapko pass bulata hai.

Coral One Vacuum :-

Coral One Vacuum Robot aapke ghar ke liye bahut kam ka Sabit ho sakta hai. yah Robot sensor ki madad se Bina kisi ke nirdesh diye aapke floor ko vacuum cleaner aasani se kar sakta hai. Coral one Mein alag jaane wale components hote Hai. Jisase aap Mushkil wali Jagah per manuall vacuum cleaning nahi kar sakte Hai Aisa dusre vacuums Robot main Nahi hota hai manual vacuum prabhavit pratit Nahi hota hai, per practically Iske fayde bahut jyada hai.

Ghar Ke Gadgets Upgrade kaise kare?

पुराने Gadgets कहां और कैसे बेचें ?

इस Valentine GF को महंगे gift की जगह दे ये Security gadgets

Fake Gadgets से हो सकती है आपको बड़ी परेशानी

Smartwatch App kya hai ?

iPhone Ko Is Trick Se Banaye Smart

Leave a Comment