iPhone Ko Is Trick Se Banaye Smart

Aaj ke Samay Mein Har vyakti phone ka upyog Karta Hai. Sabhi Ke Pass Android phone to Rahte hi Hai. bahut se Logon ke pass apane iPhone Dekha hoga. iPhone kitne mahange Milte Hai is Baat se to koi bhi Anjan Nahi Hai. Yadi aap iPhone Rakhna Chahte Hai, To uske liye aapko Kafi paise kharch karne Hote Hai. iPhone Duniya ka sabse lokpriy smartphone ban gaya hai.

Har company Apne smart phone mein nai nai features ko Lati rahti hai, Taki Users un features ki or attract hokar us smartphone Ko khareed Le, lekin iPhone apne aap me ek features hai. iPhone sirf Naam Se bikane wala smartphone hai. Jab Ham iPhone kharidte Hai To Ham us Samay ye Nahi sochte ki iski battery backup kitna hai, ya FIR isme kya-kya features Hai. sirf us phone ko lene ka Junoon Ham me rahata hai.

Puri Duniya Mein iPhone sabse famous smartphone hai. 2007 Se Lekar ab tak Apple ke bahut Sare smartphone ne Ne smart devices ko nai Rah Dikhai Hui Hai. iPhone mein bahut hi Shandar features available Hote Hai, Jo Har Kisi Ko Pasand Aate Hai.

isme Kai features Samanya Hai, To Kai features bahut jyada attractive aur special hai. yadi aapke pass bhi iPhone hai, to aapko Kuchh tips aur trics ki madad se apni life ko aap aur bhi Aasan bana sakte Hai. Sath hi aap apne iPhone ko sabse Jyada smart bana sakte Hai .

iPhone mein bahut Sare Kai Rochak features maujud Rehte Hai, Jinki madad se aap custom notification Se Lekar Apni phone ki battery management Tak kar sakte Hai, Halaki aap ko UN features ke bare mein Maloom Nahi Hota Hai. Aaj Ham aapko aapke iPhone ke un features ke bare mein bataenge Jinka use kar aap apne iPhone ko Aur Bhi Jyada smart bana sakte Hai.

iPhone kya hai ?

Apple company dwara Banaya Gaya iPhone smartphone hai, jise Ipod cellular network digital camera Aur tablet PC Se Milkar Banaya Gaya Hai. Apple Ek Matra esi company hai, jo iPhone ka Nirman Karti Hai, Jiski wajah se Software Hardware per iska pura control rahata hai.

Notification preference main Kare badlav :-

Jab aapko Apne iPhone per notification milti hai, to aap use ek bar press Karen ya FIR apne mobile ki lock screen par Right side Ki taraf Swipe Kare Iske bad aapko Mange per click karna hai, aur aap Yahan Se fix kar sakte Hai ki life mein aapko Apne IPhone per milane wali notification ya to Puri Tarah Se turn off karna hai ya FIR aapko notification Bina Shor ke Milegi is baat ka selection aap kar sakte Hai.

Ek Gestures Main Kuchh Bhi Karen search :-

yadi aap apne Iphone ki display ko bich mein swipe down Karte Hai, To to aap ke mobile ki spotlight search activate automatic Ho Jaati Hai. Iske bad aap apne iPhone per Kuchh Bhi search kar sakte Hai FIR Chahe vah Koi file Ho setting ho ya FIR Koi web result aap Badi aasani se kaise bhi chij ko search kar sakte Hai.

Magnifying glass ke tahat work Me le :-

Sabse pahle aap apne iPhone ki setting ko open Karen, setting open karne ke bad aap setting open karne ke bad aapko general Main Jana hai aur FIR Accessibility mein jana hai. Ab aapko magnifier per click karna hai, Jise on karne ke liye aapko home button par 3 bar click karna hoga. ise on karne ke bad aapke iPhone ka camera magnifying glass Mein change ho jaega aur screen view finder ke roop mein aapko Najar Aaegi.

Disturb Hane se bachayenge :-

Kai bar aapko Kafi disturbance mahsus Hoti Hai, Is Se bachne ke liye aap apne iPhone mein Dont disturb white driving activit main kar sakte Hai. iPhone mein Dont disturb white driving activit karne ke liye aap ko control panel Main Jana Hoga aur feature on karne ke bad aap is pareshani se Azadi Pa sakte Hai. Jab Bhi aap apne vahan Mein baith kar Kahi Bhi Jaaye to apne mobile par do not disturb mode ko on Kar le.

Keyboard switch Karen :-

Aap apne iPhone Mein yadi keyboard ka use karte Hai, to sabse pahle aap apne phone ke keyboard use Karne Wale app ko open Kare. niche ki taraf left corner main aapko ek emoji ya FIR group icon dekhega usko Ek bar dabaye ya hold Karke rakhe Iske bad aap apne phone ke left-Right side keyboard kam mein aasani se le sakte Hai.

Custom alert set Kare :-

Custom alert banane ke liye Apne iPhone ke contact app ko open Kare aur jis vyakti ke liye aap alert activate karna chahte Hai, us per click Karke rakhe ya edit per click kare. aap text ya ringtone per click Kare is option se aap Apple ki ringtone ke alava text ko bhi select kar sakte Hai.

Battery saver ka Kare use :-

Kai vyakti Apne iPhone per lagatar kam Karte Rahte Hai, Jis vajah se battery backup kaafi Kam Lagta Hai, Kyunki lagatar kam karne Ke Chalte battery jaldi khatm Ho Jaati Hai, Aise Mein aap low power mode activate kar sakte Hai aur apni is problem se buch sakte Hai.

iske liye Apne iPhone ke control Centre access Kare aur low power mode ko activate karne ke liye battery icon per click kar de Iske bad aap yah background me apps ko refresh hone se rokta hai, Taki aap ki battery Jyada der tak Chale.

iPhone Ke Liye Kaun Sa App Best Hai?

Apple Device Iphone Ipad me Apple ID Kaise Change Kare?

पुराने Gadgets कहां और कैसे बेचें ?

Leave a Comment