Safalta Hamare Aas-Paas Chhupi Hai?

Hamari Sangat hi Hamare Rangat hoti hai, Hamare Safal hone ya na hone se Hamare aas paas Ke Logon Ka bahut hi mahatvpurn yogdan hota hai, Kai adhyayan mein bhi is Baat Ko Mana Hai Ki Hamara vyaktitv Hamare aaspaas ke UN logon ka anusar hota hai, Jinke Sath Ham adhiktar Samay batate Hai.

Jis Tarah ka vyavhar Samne wale vyakti ka hota hai unke Jaisa vyavahar Ham karne lag Jaate Hai. unke vyavhar ke sath vichar aur unke Gyan ka Prabhav Ham per padhne lag jata hai. yadi Hame Safal hona hai To Hame Har chij Mein Dakshta Hasil Karni Hogi aur Hamen taiyar Hona hoga.

Jab tak Ham Sabhi chijon Mein dakshata Hasil nahi kar lete ya FIR yah baten Hamari Aadat Nahi Banegi tab tak Hamari safalta ka rasta clear Nahi Hoga. Jis Din Hame Sabhi chijon me Dakshta Hasil ho jayegi aur acchi chijen Hamari Aadat Ban Jayegi use Din Hamari safalta ke sabhi Raste clear Ho jaenge.

Duniya Mein jitne bhi Safal vyakti Hai vah is baat ka Khas Dhyan rakhte Hai, Ki unke Jivan me unke aas paas ke log kaise hai? yadi Ham is Baat per vichar karen to To Ham is natije per pahunchenge ki safalta Ke Piche Hamare Aas Paas Ke Logon Ko Sidha connection Judaa Hota Hai. Ham unke Sath Kitna Samay bitaye aur kin vyaktiyon ke sath kam Samay Bitana Cahiye ye bhi Hamari safalta per purn Roop Se ashrit Hota Hai.

Vah log jo aap ko chunauti date Hain :-

Is Tarah Ke Logon Ko pahle Tarah Ke Logo ki category Mein Rakha Jata Hai yah vyakti aap ko chunauti Dete Hai. Yah Vahi log Hain jo aapko mahsus Karvate Hai ki ye aapse bahut jyada Jante Hai. inke pass aapse Kai Jyada Anubhav Hota Hai.

yah Hamari Baton ko sunte to hai, Hamare Har Tarah Ke idea per inke vichar Humse Kisi bhi tarike se Mel Nahi Ho paate hai, ya Humse kai sawal karne lag Jaate Hain Jis Ka parinaam yah nikalte Hain Ki Ham inse pareshan Ho Jaate Hai, halaki yah Vahi log hai, jo Hame Pragati ki aur Lekar Jaate Hai, isliye Jab Bhi Hame Is Tarah Ke Log Hamare aaspaas Dikhe To Hame in Se Dur Nahi Jana chahie Baalki Hamen UN Logon ki Baton ko samajhna chahie aur unke Sath Samay batana chahie. Is Tarah Ke Logo ke sath Hamari sangati bahut hi acchi hoti hai Jab Ham Is Tarah Ke Logo ki sangati mein Hote Hain To Ham In se kai bate Sikh sakte hai.

Is Tarah Ke Logon se hone wale fayde :-

– Hamari planning aur kam karne ke tarike Mein Kafi Sudhar ho jata hai.

– Ham Swayam ko Hi chunautiyan Dena prarambh kar dete Hai.

– mansik Taur per Dekha Jaaye To Ham Kafi majbut Ban Jaate Hai.

– Har din Ham Is Tarah Ke Logon se Kuchh naya sikhate Hai.

– Jivan mein aane wali har samasya har paristhiti se Ladne ke liye Ham Puri tarike se taiyar ho Jaate Hai.

Jo aap per Vishwas rakhte Hai :-

Is Tarah Ke vyaktiyon ko dusri Tarah Ke log kaha jata hai Is Tarah Ke log Hamare andar atmavishwas ko Badhte Hai. yah Hamen sunte Hain samajhte Hain, Aisa Sambhav hai ki vah Anubhav Mein Humse Kafi Piche Ho, vah Humse bahut kam chijen jante ho, lekin Jab Bhi ise vyaktiyon ka Ham Apne aas paas dakhte hai ya FIR Hame Unka Ehsas hota hai, To yah hame vishwas se paripurn kar deta hai aur aage badhane ke liye project karte hai.

Jab Bhi Ham Is Tarah Ke Logon se apne Man Ki bate karte hai yah Apne vichar ya apni kamzoriyan batate Hai To yah Dhyan se sunte Hain aur FIR vah Hame Aage badhane ke liye prerit Karte Hai. Aise vyakti Hamari kamjoriya ko Dhyan Mein Na rakhte hue Hamari acchi Baton per Gaur Karte Hai aur Hame Jivan Mein Aage badhane ke liye prerit Karte Hai.

Jivan Mein Is Tarah Ke Logon se hone wale fayde :-

– Aise vyakti Hame bhavnatmak Roop se majbut rakhte Hai.

– Jivan mein aane wali pareshaniyan ke Samay yah Hamara Faisla badhate Hai.

– Sahi Nirnay Lene Main Yaha Hamari madad Karte Hai.

– Aise log Hamen Khud Se Pyar karna Sikhate Hai.

– Aise Logon ki vajah se aaspaas ka mahaul sakaratmak bana rahata hai.

Jo Hamare Sath har pel rahte hain :-

Aise Logon Ko Teesri Tarah Ke log kaha jata hai, jo Hamare Sath Har Pal rahte hai. ye un dono tarh ke logo se Thode alag Hai, Lekin Jivan mein Umang aur Utsav banaye rakhne ke liye yah Hamare liye sabse Jyada jaruri hai. yah vyakti Bhale hi Hame kam jante ho Lekin Hamare Jivan ke har pal Hasi majak ko Kis Tarah Anand Se Jiya Jaaye ye jante hai.

in Sab Mein vah Sabse Aage rahte hai. in ki majak Kis Tarah karna hai, Masti Kis Tarah Se karni hai, yah Hamesha bacchon Ki Tarah Bane rahte hai unhen pata hai ki Jivan Ko kis tarike se Puri Masti ke sath Jhoom Kar vyaytit Kiya Ja sakta hai. Har pal ko Chahe vah Chhota ho ya FIR koi sa Bada avsar yah us avsar ko Khaas banate hai.

aur usmein apne Hasi majak ka yogdan Dena Kabhi Nahi bhulte Is Tarah Ke Log Hame sikhate Hai Ki Jivan Mein Hone Wali pareshani ko kis tarike se Bhul kar Anand Se Jiya Ja sakta hai. Aise Kai logo ko Dekha Hai Jo safalta ko Hasil karne ke liye ji Jaan aur Junoon se mehnat Karte Hai. vah Log in Sabhi Baton ko najarandaaz kar dete Hai. yadi Hame safalta ke sath sath Khush Rahane ke Niyam Ko Bhi samajhna Hai To Tarah Ke Logon Se Achcha Hamen Kaun Samjha sakta hai.

Is Tarah Ke Log Hamari Jindagi Mein hone ke fayde yah hai :-

– Ham Tanav Se Dur Rehte Hai.

– Hamare swabhav Mein komalta aa Jaati Hai.

– Ham Jindagi ke Har pal ko khulkar Jeete hai.

– Mushkil Ki ghadiya Mein Bhi Ham Sahaj rahate Hai.

– Swasth Rahane Mein Kafi madad milati hai.

Urja se purn our urjavan Logon ke sath Jude :-

Jaisa Ke Humne Upar pada hamare aas paas teen Tarah Ke Log rahte hai, ab Hame apne aas paas Ke Log kis Categoryme ate hai apko yah samajhne ke liye ek list Banani Hogi aur is list mei kam se kam 20 Logon Ko Naam avashya likhna Hoga, jinhe aap Jante pehchante hai, aur unke Sath aap apna Adhik Samay batate Hai. is list main aap Har vyakti ke bare mein sochna hai. Aap Ko spasht Ho Jaega ki kaun sa vyakti kis Category me ata hai.

aap inmein se Vishesh kar 5 logo ka Chayan kar sakte hai aur vah vyakti vah hone chahie jo aapko sabse Jyada prerit aur urjavan banaye rakhne mein madad karte hain aur Har Pal aapke sath rahte hai. Ab UN Logon ke sath aap 80/20 Ka Niyam Lagu Karen, yani ki aap UN Logon Ko Apna sif vah Samay de. Is Tarah Hamare andar Dhire Dhire use Sahi urjavan aur prernadayak Logon se jude aur Hamen safalta ki or aage badhata rahega. Hamen is Baat Ko acchi Tarah Se samajhna Hoga Ki Hamare Aas Paas Ke Logon ki mojudgi Ka Asar Hamari safalta per Hona tar hai.

Success Ke liye Naye idea Create Kaise Kare

Successful Banne Ke Liye Badle Lifestyle

जीवन में Success के लिए मन को रखे स्थिर

Life में Success के लिए शक्तियों को करे एकत्रित

Leave a Comment