Safal vyakti Kaise Bane?

Ek railway station per Teen Dost train Ka Intezar kar rahe the, jis train ka vah Wait kar rahe the, vah Samay se bahut jyada let chal rahi thi. platform per Kafi Samay tak train Ka Intezar karne ke bad teeno dost Kafi Bor ho gaye the. Samay ko bitane ke liye unhone Socha Kyon Na Bajar ghoom kar aa jaye, teno Hi Ek Sath railway platform se bahar Aakar bajar ghumne Lag Gaye.

Samay katne ke liye unhone Bajar ghumna hi theek Samjha. Jab train ka samay hua to vah tino hi Wapas railway station ki taraf Aane Lage. Jaise hi vah platform ki taraf Aage Bade to unhone Dekha Jis train Ka Intezar kar rahe the, vah train platform se Ravana ho rahi thi.

Teno Ne train pakdane ke liye pura Jor Laga Diya aur Bhagne Lag Gaye. pahla Mitra bahut Teji se Bhaga Jisne train ka pahla dabba pakad liya aur vah dabbe Mein Chadh Gaya dusra Mitra thoda kam Tej Doda lekin vah train ke Aakhiri dibbe mein kisi Tarah pahunch gaye, lekin Teesra dost UN donon Se Hi Kam speed Mein Dod Paya aur vah train Main Nahi Chad Saka.

Jo dost sabse pahle dabbe Mein Chadha tha vah train ke Aakhir Dabe ki taraf jakar Apne doston ko dekhne Laga. aur jo dost Piche ke dabbe mein tha vah Aage Ki Taraf badh kar Apne dost ko Khojne Laga dono ka hi Samna bich Mein Hi Ek dabbe mein ho gaya dono ne ek dusre ko Dekh Kar Kaha are to pahla wala dusre ko dekh kar ashraya kar raha tha, aur dusra wala pahle wale dost ko dekh kar Aacharya kar raha tha.

Dono hi dost Chehre per nirasha liye Sar pakad kar train mein baith Gaye. UN dono doston Ko Dekhkar dusre yatriyo se Raha Nahi Gaya aur unhone poochha ki kya baat hai? donon Hi doston ne bataya ki Jis dost ko ham Station chhodane Aaye Hai vah To platform per hi Rah Gaya. Yahi sthiti Hamare Sath Bhi Kai bar hoti hai.

Hamen Jana Kahi aur hota hai aur ham pahunch Kahi aur hi Jaate Hai, Aisa isliye hota hai Kyunki Hamari Manzil spasht Nahi Hoti Hai. Jab tak Hamari Manzil clear Nahi Hogi Ham Sahi Jagah Nahi pahunch sakte hai. safalta Hasil karne ke liye Ye Hame clear goal Rahana chahie Taki bad Mein Hame Kisi Tarah Ki pareshani ka Samna Na Karna Pade. Kisi bhi kam ko yadi Ham man mein sankoch rakh ke karte hai, to nishchit Hi vah Kam kabhi bhi Safal Nahi ho sakta hai. man mein kisi bhi Tarah Ki Uljhan hone per Ham Kisi bhi kam ko Sahi tarike se nahin kar sakte.

Jab vah kam pura Nahi Hota Hai To Ham Khud Ko kosne lag Jaate Hai, Jab Bhi Ham Kisi kam ko prarambh Kare To Hame Apne Lakshya ko spasht kar lena chahie aur Puri planning ke bad hi Hame use kam ko Shuru karna chahiye Nahi to bad Mein Hamen Kai Tarah Ki dikkato ka Samna karna padta hai.

Apni Manzil Ko Pahchane :-

Jivan Mein Safal vyakti banne ke liye sabse pahle hamen Sunishchit karna hoga ki Ham Sahi Marg per our Sahi Disha mein Gati se Aage badh rahe hain ya nahi. Apne Lakshya ko pura karne ke liye aur Sapnon ko pura karne ke liye Hame apni Jivan Mein Ek Lakshya ko nirdharit karna hoga aur use Lakshya ko likh Lena bhi Hamare liye bahut Jaruri Hota Hai, Taki Likhit Laksh Bar Bar Hame Jivan ka uddeshy Ko Yad Dilata Rahe.

Ek nishchit AVN spasht Lakshya Ke Bina ham use jahaj Ki Tarah hai jo Pani Mein Aage Badh to Raha Hai, Lekin Manjil ki Disha use pata nahi hai. Kai vyakti Apne Jeevan Mein isliye safalta prapt nahi Karte Hain Kyunki unme shamta, Sahas ki Kami Nahi nahi hoti hai, Kami Rah Jaati Hai, to sirf UN Logon ne apni energy Ko Apne Lakshya Tak pahunch Ne ke liye sahi se upyog nahi kiya.

Apni kimat banae rakhen :-

apni kimat Koi yadi Ham samajh Lete Hain To Ham Khud Ko dusron Se Kam Nahin Aakte Hai, lekin Jab Ham apni kimat ko bhul Jaate Hai, To Ham Kisi bhi Kam ko Sahi aur sucharu rup se nahi kar sakte hai. Ek vyakti bhid wali Jagah per Apne Jeb se 2000 rupay ka note nikal kar Hawa Mein lahra Te huye jor se Challata hai ki yah note Kaun Lena Chahta Hai.

vahan Khade Sabhi Logon Ne Apne Apne Hath uthaye FIR use vyakti Ne 2000 ke note ko Apne Hathon Mein dabaya Taki note Mein salvate aa jaye aur use note ko Zameen Par fek Diya aur Use kichad Mein Kar Diya Uske bad fir se 10000 rupaye ke note Ko Hawa Mein Hath Karke uthate Huye Logon se poochha ki aap is not ko Kaun Pana Chahta Hai, Ab Bhi Sabhi Logon Ne Apne Hath Khade Kiya.

use vyakti ne Ek vyakti se poochha ki aap is Dhul wale note ko kyon Pana Chahte Hain, tab vyakti ne kaha ki bhale he is not per Dhol aur salwate a gai hai lekin Uske kimat abhi 2000 rupaye Hai. theek ISI Tarah Jivan Mein Chahe Jaise paristhiti Ho Humne Khud Ko dusron Se Kam Nahi Aakna chahie aur Hamen apni kimat ko Hamesha Bekarar Rakhna chahie, tabhi Ham Jivan Mein Safal ho Payenge.

Apni kabiliyat ko pahchane :-

Jivan Mein Jab Kabhi viprit paristhitiyan Aati Hai To Kai vyakti yah man Lete Hai, Ki Is kaam ko vah nahi kar sakte hai, lekin vah Bhul Jaate Hai Ki vah is kam ko pura kar sakte hai. Apne man mein Is Tarah Ke vichar Hamari Shakti ko khatm kar dete hai, aur Jiska upyog Ham Sahi tarike se kar sakte the use kam ko bhi ham pura nahi kar paate Hai.

isliye Jeevan Mein Chahe Jaise Bhi paristhiti Ho Hume apna atmavishwas khona Nahi chahie. Jis Din Humne Apne andar ki Shakti aur atmavishwas Ko Jaan liya us din Aap Jivan mein aane wale Har pareshani se nipat sakte hai.

Safalta Hamare Aas-Paas Chhupi Hai?

Sports Hai Business ka Aadhar

M-Learning Shiksha kya Hai, Mobile learning kaise sikhe?

Brain power kaise badhaye?

Business Sahi Tarike se Kaise Kare?

Leave a Comment