kahani padh kar sunayega google ok

logo ko news ya story padhna bahut achha lagta hai. Lekin kai bar vah padhte huye bor ho jate hai us samay man me ek hi saval aata hai ki kash koi hame yah kahbar ya story padh kar suna deta to kitna achha hota.

Halaki agle hi pal hame is sawal ka javab mil jata hai ki esa sambhav nahi hai. Lekin Ab yah Ho sakta hai, google ne apne Assistant me ek naye fichar ko shamil karte huye kuchh naya kiya hai. Google Assistant ke is naye fichar se Android smartphone webpage ko ham sun sakenge.

28 Indian languages ka sath :-

User ko is fichar ka use karne ke liye ise Activate karna hoga, tabhi vah is fichar ka labh le sakege. Google Assistant ka ye fichar 28 Indian languages ko saport karta hai. Jisme Hindi ke lalava Marathi, Gujarati, Tamil, Malayalam, Telugu, Bengali or Urdu hai, User ki jankari ke liye bata de ki filhal yah fichar sirf English language ko hi Support karta hai. Company ke anusar jald hi vah in sabhi languages ko is fichar me shamil karenge.

Kese karega kaam :-

– Is fichar ka labh lene ke liye User ko pahle is fichar ko Activate karna hoga.
– Google Assistant ko Activate karne ke liye User ko Hey google ya hello google kahte huye ise Activate karna hoga.
– Google Assistant Activate hone ke bad Read it kahe taki vah Web page read kar apko suna sake.

Special technology :-

Google ne isme Special technology ka Use kiya hai, jiski sahayta se User Google Assistant par apni languages me iska labh le sakega. User ko is fichar me kisi tarah ki koi pareshani na ho iske liye company ne isme Speech Synthesis Artificial Intelligence Technology ke sath Natural language processing ka use kiya hai.

Favorite language:-

User Translation feature se Google Assistant User ki favorite language me web page Translate kar sunayega.

No High-speed data :-

company ke anusar is feature ke liye aapko High-speed data ki jarurat nahi hai.

No Wi-Fi connection :-

No High-speed data ke sath hi isme apko Wi-Fi connection ki bhi jarurat nahi hai.

2G network:-

User Google Assistant ke is naye fichar ko 2G network par bhi use kar sakte hai.

Location Off karne par bhi Google Hum Par Kaise Rakhta hai Najar

Google Photos Me Private photos Hide Kaise Kare?

Fake Apps Identify Tips :- Google Play Store Par Fake App Identity Kese Kare?

Google Play Store पर Fake apps की शिकायत कैसे करे?

Google Search History Delete Kaise Kare

Leave a Comment