Keyboard Ke Bina Mouse se Typing Kaise Kare?

Computer par kam karte hue yadi achanak se keyboard kharab ho jaye to bahut gussa ata hai. Computer par yadi ham boos ka Urgent kam kar rahe ho or us smay keyboard kharab ho jaye to ham kafi pareshani me aa sakte hai. Lekin aapko Preloaded onscreen keyboard ke bare me jankari hai to aap bina keyboard ke Mouse se typing kar is pareshani se bach sakte hain.

Bina keyboard Mouse se typing karne ke liye aapko pareshan hone ki avshyakta nahi hai. Thodi si bhi yadi aapko iski jankari hai to aap asani se Preloaded onscreen keyboard ki madad se typing kar sakte hain. Yadi aapko jaldi typing karna hai to Preloaded onscreen keyboard ke alavaa Extension ya fir Converting voice to text ka bhi istemal kar sakte hai.

Onscreen keyboard Kya hai?

Onscreen keyboard apke keyboard ki tarah hi hota hai, halaki yah apke Computer ke andar hota hai, yah bilkul aapke keyboard ki tarah hi hota hai. Fark sirf itna hai ki ise Mouse se chala sakte hai.

Onscreen Keyboard Search Kese kare?

Apne Computer me Onscreen Keyboard ko Search karna kafi asan hai. Apne computer ya laptop ke Start menu par Click kar program me jaye, jaha aapko Virtual keyboard ka Option najar aayega jis par Click kar ap Onscreen Keyboard istemal kar sakte hai.

Problem aane par :-

Yadi aapko Computer me Onscreen Keyboard ko Search karne me Problem aa rahi hai to aap Start par Click kar Search bar me on screen keyboard Search kare.

use Kese kare ?

on screen keyboard ko aap Mouse ki madad se chala sakte hai. on screen keyboard me aapko vah sabhi Features milenge jo apko apke keyboard me milte hai.

Mouse kharab hone par kya kare?

kai bar man me sval aata hai ki yadi Mouse kharab ho to ham on screen keyboard ko kese chala sakte hain. Is Problem ka bhi hal hai hamare pas. Is sthiti me jo world apko Type karna hain vaha Mouse cursor ko us world par le jaye or kuchh samay ke liye chhod de apka Mouse cursor jis world par hoga vah Automatic Type ho jayega. Halaki iske liye apko pahle onscreen keyboard ki Settings Change karni hogi.

Settings Change Ese kare?

on screen keyboard ki Settings Change karne ke liye apko ye Steps Follow kare.

– onscreen keyboard ke right side ke option par Click kare.
– Apke samne ak New window screen open hogi.
– Four Number ke option Hover over keys par Click kare.
– Time Select kare.

Is Settings ke bad apne jo Time Select kiya hai us Time tak aapko kisi bhi world par Mouse cursor ko rakhna hoga jisse vah Automatic type ho jayega.

Onscreen keyboard limit :-

Onscreen keyboard ki ek limit hoti hai vah usi limit me Typing karega, lekin yadi aapko Speed me Typing karna hai to ap Speech to text se kam samay me jyada kam kar sakte hai. Speech to text me ap jo bhi bolenge vah Automatic type ho jayega.

Phone aur Computer Me Dark Mode Activate Kaise Kare?

सुपर कंप्यूटर क्या है, Top 5 Super Computer in India

Phone को Computer का Mouse और keyboard कैसे बनाएं ?

without formatting Computer-Laptop की Speed कैसे Badhaye?

Safe Mode क्या है, Computer में Safe Mode On कैसे करे?

Computer slow क्यों होता है, PC को Fast कैसे बनाएं?

Leave a Comment