Google Photos Me Private photos Hide Kaise Kare?

Market me Great features vale ese phone hai jinki Picture quality high hone ke sath unka Size bhi Large hota hai. Esi Condition me mobail Mobile computer YA laptop me sara data rakh pana mushkil hota hai. Kai bar jab ham in sabhi Photo video ko apne phone me rakh lete hai to Memory crash hone ka khatra bad jata hai. Our hamara data Delete bhi ho sakta hai.

Aaj ham sabhi users ko Photo, video safe rakhne ka tarika batayenge, sath hi kai photo our video Private hote hai. Jinhe aap chhupa kar rakhna chahte hai, jinhe apke siva our koi bhi nahi de sake. Unhe aap apne main album me Show nahi hone dena chahte hai. Apni Private photos ko Hyde karne ke liye aap Google Photos me Archive feature ko use kar sakte hai.

Users ko is feature ka use karne ke liye unke pas Google Photos ka latest version hona chahiye. Sabse pahle aap jis photo or video ko Hide karna chahte hai, use Select kare our menu par Click kare. Apke samne Archive option show hoga. Jese hi aap Archive option Select karenge to apke dvara Hide kiye gaye photo our video apke Main album me show nahi hoga. Is Process ke bad ap Hide kiye gaye photos our video ko apke dvara Select folder me hi dekh payenge.

Private photos Hide Kaise Kare?

– Google Photos app open kare.
– Photo or video Select jise ap Hide karna chahiye.
– menu button par Click kare.
– Left corner me Menu open karne ke bad apko Archive option show hoga.
– Ab ap Photo or video ko Archive kar de.
– Apke dvara kiye gaye photos our video Main album me show nahi honge.

Users is bat se Relaxed rahe ki apki photos Main album me show nahi ho raha hai to vah Delete ho gaya hai. Apka video ya photos sirf hide hua hai jise sirf ap hi dekh sakenge.

Kya hai google photos?

Asan Language me kahe to google photos google ki hi ek Service hai. Jaha ham apni photos our video ko Online Upload kar sakte hai. Google photos hame apni photos our video ko Online Upload kar safe rakhne ki Service provid karta hai. Yah Service bilkul Free hai, jaha ham apna Unlimited data Free me Store rakh sakte hai. Google Photos ki Privacy Strong hai jaha aap apni photos our video ko our koi nahi dekh sakta hai.

Google Photos me ham Backup le sakte hai,sath hi Photos Delete ho jaye to ham unhe vapas bhi pa sakte hai. Sath hi ham google ki is Service me apni photo edit bhi kar sakte hai. Ham apne friend our Family members se bhi apne photos our video share kar sakte hai.

Computer se Google Photos Me Photo Save Kaise Kare?

User ka gmail Account bana hai, to unhe google photo Account banana ki jarurat nahi hai. Apka gmail Account nahi bana hai, to ap google photo Account nahi bana sakte hai.

– Users ko google photos Login kare.
– Google Photos Login hone ke bad apke samne Create end Upload ke Option honge jisme se apko Upload Option Select karna hoga.
– Users ke samne new window open hogi, jisme apke Folder show honge.
– Jis photo ya video ko ap save karna chahte hai, un photos ko ap save karne ke liye Click kijiye. Apki Selected photos google photos me save ho jayegi.

Mobile se Google Photos Me Photo Save Kaise Kare?

Users yado apne phone se google me photo save karna chahte hai, to vah Google Photos App se esa kar sakte hai. Apko sabse pahle google Play Store se ise Download kare.

Users dvara gmail login karne ke bad yah Automatic Gmail Id se Login ho jayega. Ab ap apne phone ki Gallery me jaye our jis photo ko apko upload karna hai us par Click kare.

Ab apke samne Share options par OK karte huye Upload To Photo par Click karte hi apki photo google photos par upload ho jayegi.

Users kahi bhi kisi bhi Device me apni gmail ID open kar apni photos ko Download kar sakte hai. Lekin dhyan rahai ki yadi ap apne photos Download karne ke bad apni gmail ID ko Logout karna na bhule. Nahi to apka data chori ho sakta hai.

Google Photos ka Backup Kaise Download Kare?

– Google Photos website open kar Google Photos Login kare.
– Google Photos Account ko Login karne ke bad user ke samne apke sabhi photos show honge.
– Users us photo par Click kare jise Download karna chahte hai.
– Photo par click karne ke bad apko screen par 3 dots dikhai denge. Jin par apko click karna hai.
– Download Option Select karne par apki photos Download ho jayegi.

Google Photos Se Photos Delete Kaise Kare?

Kai bar anjane me ham google photos par un Pictures ko upload kar dete hai jise ham karna nahi chahte hai. Fir hame is bat ki jankari nahi hoti hai ki akhir unhe delete kese kare. Apko Tension lene ki koi jarurat nahi hai. Ap badi asani se google photos se apni galti se upload hui tasviro ko delete kar sakte hai.

Users jis photos ko delete karna chahte hai, us par Click kare. Fir vah photo ho ya fir video. Photos ya video open hone ke bad Right side three point show honge jin par click karte hi apko delete ka opthon show hoga jise Select karte hi apki photos ya video google photos se delete ho jayegi. Ab ap jab bhi apni personal photo ya video ko google photos par Upload kar sakte hai. Sath hi yadi koi galat photo ya video apse Upload ho jata hai to aap use badi asani se vaha se delete bhi kar sakte hai.

Users is bat ka dhyan rakhe ki jab bhi ap apni personal photo ya video ko google photos par upload karte hai to is app ko aap Password ya pattern se Secure kar sakte hai.

New Email ID Kaise Banaye?

Photo Pose for Man/Woman :- Best Photo Click Kaise Kare?

laptop se delete kare ye Data, Experts tips for Laptop in hindi

Smartphone Secret Features in Hindi

Leave a Comment