Polling Booth in 2021 :- Phone se Polling Booth Kaise Pata Kare?

Election shuru hone se pahle har koi apna Voter ID Card banane ki Process me lag jata hai, kyo ki Voter ke pas Election slip ya voter card nahi hai to vah Election me apna vote nahi dal sakta hai. Jab apki Age18 Years ki ho jati hai to ap voting kar sakte hai.

Kai bar apke pas Voter ID Card to hota hai lekin is bat ki jankari nahi hoti hai ki hamara Polling Booth kon sa hai. Is duvidha me kai bar ap vote nqahi dal pate hai. Lekin ab apko pareshan hone ki jarurat nahi hai kyo ki ab ap aasani apne Voter ID Card se hi ghar bethe pata kar sakte hai ki apka Polling Booth kon sa hai.

Election ke pahle hi apke pas Election slip aa jati hai jisme Voting date, Polling Booth, Polling Booth Number, Polling Booth Room Number Voting time sabhi bate mention hoti hai. Yadi apko Election slip nahi mili hai to ap kuchh asan si Steps follow kar apne Polling Booth ki sabhi Information mil jati hai.

Election commissionne ak App Launch kiya hai, jisme ap apni Details fill kar apne Polling station information jan sakte hai. Election commissionne ne Voter Helpline name se is app ko Launch kiya hai, jise koi bhi asani se Google Play Store par Free me download kar sakte hai.

Users jab is app ko open karenge to unhe EVM, Elections, Forms, Voter, Complaint ke sath Result Option show honge. Apna Polling Booth janane ke liye apko Voter Option Select karna hoga. Aab Where is my polling Station ko tab kare. Ab apke samne know your polling booth ka ek page open hoga.

Link me apni information Fill kar de. All details Fill karne ke bad Search Option par tab kare. Ab apki screen par Voter slip ke sath apke Polling Station ki information bhi show hogi. Yaha se ap apni Voter slip ko Download bhi kar sakte hai.

Is app me apko District Administration Complan Cell ki information ke sath is bat ki information bhi hasil kar sakte hai ki VV Pat Machine Use kese kare.

online polling booth kese dekhe? (How to see online polling booths)

– online polling booth dekhne ke liye sabse pahle users ko National Voter Service Portal (NSVP) ki Official website open karna hogi.
– Citizen Information Option me Scroll kar Booth, AC and PCpar Click kare.
– Form ki required information ko sahi se Fill kare.
– Ab apko page ke ant me apne pooling booth ke sath dusri IMPORTANT information bhi dekhne ko mil jayegi
– Parliamentary Constituencies and Assembly Constituencies janane ke liye aap View Details par Click kare. Votars is bat ka dhyan rakhe ki Polling booth ki details search karne se pahle is bat ko nishchit klar le ki apka name Voter list me juda hai ya nahi.

polling booth SMS se kese Search kare? (How to search polling booths by SMS)

yadi apke pas apna Voter ID Card hai to ap badi asani se apne Polling booth ki details jan sakte hai. Iske liye apko apne Mobile se sirf ek SMS karna hoga. Sabse pahle apne phone ke message box me EPIC Type kar Space de our apna Voter ID Number Type kare.

Apke dvara type message ko 51969 ya 66 par send kar de. Kuchh hi Second me apke phone par ek message ayega jisme apke Polling Booth Name and Location ki Information hogi.

Ap apna name Online bhi dekh sakte hai. Jiske liye apko kuchh asan si Steps follow karni hogi. Jiske bad ap asani se apne Voter list me apna name dekh sakte hai.

Voter list me apna name dekhne ke liye apko https://Electoralsearch.in Website open karna hogi. Ap apne name ya Father name se apna name search kar sakte hai. Aap Other tab me EPIC (Voter ID Card) Numbers se bhi apni Details search kar sakte hai.

Yadi apne apne Voter ID Card me kisi tarah ka koi Update karaya hai to ap EPIC No. ka use kar apni Information search kae sakte hai. Yadi EPIC No nahi hai to ap Search by Description par Click kar sakte hai.

Voter List me name Search kaise kare? (How to search name in voter list)

– Full name inter kare.
– Father name likhe.
– Gender selection kare.
– Apni Ages ko date se show kare.
– District ka selection kare.
– Assembly Constituency ka Selection kijiye .
– Captcha code ko sahi se inter kare.
– find button par Click karte hi apko kai Option dikhenge jisme se apne name par Click kare.
– Ab ap[ke samne apki complete information aa jayegi.
– Aap yaha se apni information print bhi kar sakte hai. Jiske liye voter information Print option par Click karte hi pdf format me apki information Download ho jayegi.

Online Voter ID List me Apan Naam Kaise Check Kare

Voter ID Card में है गलतियाँ घर बैठे करवाएं ठीक

Aadhar Card Se Loan Kaise Le, Loan ke liye online Apply kaise kare?

Beauty Parlor Start kaise kare?

Leave a Comment