Photo Pose for Man/Woman :- Best Photo Click Kaise Kare?

Best photography ke liye har koi Expensive smartphone USE karta hai, taki Camera quality High ho our unki photo me koi kami na ho. Market me ese mobile ki Demand bahut hai jinka Camera quality shandar ho. Kai bar best photo Click karne ke liye apne phone me kai tarah ke apps Download kar install karte hai.

Phone me Better Quality Photo Click karne ke liye ham kai apps ko Download to kar lete hai, lekin jab phone me Space ki kami hoti hai to hame kai apps ko Uninstall karna padta hai. Phone me jyada apps rakhna bhi sahi nahi hai. In apps se hamare smartphone me kai tarah ki Problems bhi a jati hai.

Users chahe to bina apps ke bhi vah apni sundar photo Click kar sakta hai. Lekin iske liye unhe kai tarah ki savdhani rakhne ki jarurat hoti hai. Aaj ham apko batayenge ki best photo kaise le?

Light effect :-

Apne phone se best photo Click karne ke liye photo Click karne vale ko kai bato ka dhyan rakhna Necessary hai. Jab ap photo Click karte hai, to light effects ka isme Important role hota hai. Jitni jyada light me ap apni photo Click karvayenge utni hi best apki photo ayegi. Apko is bat ka dhyan rakhna hai ki jis direction se light aa rahi hai apko us direction me apni pith ko rakhna chahiye. Best photo ke liye Light ka effects subject par padna jaruri hai.

Camera stable :-

best photo Click karne ke liye Camera stable hona bahut jaruri hai. Camera stable karne ke liye ap Stand ya koi object ka use kar sakte hai. Jab bhi ap photo Click kare to apne hath ko hilaye nahi. Photo Click karte samay apka Camera Fixed hona jaruri hai. Ap apne phone ke Camera ko Fixed rakhne ke liye apne elbow ko body se chipka kar rakhe. Isase apke hath nahi kapenge our ap best photo Click kar sakenge.

Bokeh and portrait mode ka use kaise kare :-

smartphones me ab back panel par two cameras ka Setup ane lag gaya hai. Jiski Help se Bokeh and portrait mode ko achieved kiya ja sakta hai. Bokeh and portrait mode ka use users Focus and di focus ke liye use kiya jata hai. Is Features ko use kar Professional feel ki feeling ap le sakte hai. Apki janakri ke liye bata de ki Single lens phone me bhi is Features ko use kiya ja sakta hai.

Digital zoom :-

kai bar ham photo Click karte samay Subject ko dur kar dete hai our Digital zoom ka use karte hai, lekin esa karne se apki photo kharab ho jati hai. Jab bhi ap photo Click kare to, Subject ko pas me rakhte huye Digital zoom ka use nahi karna chahiye. Jaha jarurat ho vahi par hame Digital zoom ka use karna chahiye. Kai phone me Digital zoom karne se Picture quality kharab ho jati hai, our apki photo jesa ap chahte hai vesi nahi Click ho pati hai

flash Use less:-

sabhi smartphone me flash ki Facility hoti hai, lekin iska ye matlab nahi hai ki aap apni sabhi photos me flash ka use kare. natural light me jo photo ki Quality ati hai vah flash ki light me apko dekhne ko nhi milegi. Yadi apko kam light me apni photos Click karna hai to ap apne phone ke camera Settings me bhi changes kar sakte hai. Jiske liye ap Exposure ya fir ISO ko High kar sakte hai. Lekin dhyan rahe inhe bhi ham utna hi High kar sakte hai jitni inki Capacity hoti hai. Adhik High karne par apki photo kharab ho jati hai.

Landscape mode :-

Yadi ap Profession photography ka use karna chahte hai to, Landscape mode par photo click kare. Is Features ka use karne se ap apni photo me jyada Background cover kar sakenge.

camera resolution :-

apke smartphone par Photo quality Camera resolution par dependent hota hai. Camera resolution jitna high hoga apki photo utni hi ultimate ayegi. Camera resolution badaane ke liye apko camera settings me Resolution par jana hoga.

Photo click technic :-

Best photo click karne ke liye jo vykti apki photo click kar kaha hai unhe best photo click karne ki technic bhi pata hona chahiye. Yadi vah photo click karne se pahle thoda Internet par Suffering kar le to vah apki best photo click karne me safal ho sakte hai.

Position :-

Best photo click karne ke liye apke phone ke Camera ke behtar hone ke sath-sath apko bhi is bat ka dhyan hona chahiye ki kis position me hamari photo behtar aa sakti hai. Apni photo click karbvane se pahle ap apni Position par bhi dhyan de. Yadi ap sahi Position me best pose de rahe hai to apki photo ko shandar click hone se koi bhi nahi rok sakta hai.

Camera focus :-

Photo click karne se pahle apne phone ke Camera focus ka sahi hona bhi jaruri hai. Yadi ap photo click karte samay apne Camera focus ka dhyan nahi rakhte hai to apki photo sahi nahi ayegi. Best photo click karne ke liye sabhi ko apne Camera focus ka dhyan rtakhna jaruri hai.

Background :-

Ap chahe jitney Smart ho lekin photo ka Background sahi nahi hoga, to apki photo me kabhi bhi Smartness nahi aa payegi. Jab bhi ap apni photo click karvaye to apne Background ka dhyan jarur rakhe. Apki photo ka Background jitna achha hoga apki photo utni hi nikhar kar ayegi.

Smiley :-

High quality camera se bhi aap apni photo click karva le lekin apke chehre par Smiley nahi hai to apki photo kisi ko bhi pasnd nahi aayegi. Best photo click karvane ke liye apjab bhi koi Pose dete hai to, ek bat ka dhyan rakhe ki apke face par Smiley hona chahiye. Jab ap photo me Smiley denge to apki photo our bhi nikhar kar ayegi.

Different style :-

Har koi chahta hai ki unki photo ko sabhi pasnd kare. Lekin kai bar hamari galat tarike se click ki gai photo sabhi ko pasand nahi ati hai. Isliye jab bhi ap apni photo click kare to, har bar Different style me hi kare.

Best HD Photo Download Search Engine

Smartphone के लिए Best Photo Editing App

Photo Ka Background Kaise Badle, Free Background Remover Tool

Photography के लिए कौन-सा Apps इस्तेमाल करें

Leave a Comment