Google Search History Delete Kaise Kare

India Me Har Kisi Ke Hath Me Apko Smartphone Dekhne Ko Mil Jayega.Har Vykti Computer Ka Use Karta Hai. Kar Vykti Apni Computer Par Apna Data Delete Kar Dete Hai, Lekin Users Yah Bhul Jate Hai, Ki Google Apki Sabhi Information Ko Ek Jagah Par Collect Kar Rakhta Hai, Jinhe Aap Jab Chahe Tab Dekh Sakte Hai. Yaha Tak Ki Ap Unhme Kuchh Editing Bhi Kar Sakte Hai.

Jab Bhi Ap Apne Computer Par Kuchh Bhi Search Karte Hai To, Google Un Sabhi Information Ko Save Karke Rakhta Hai. Jise Delete Karne Ke Liye Apko Computer Settings Me Ja Kar Delete Kar Sakte Hai. Yadi Ap Chahte Hai Ki Ap Apni Sabhi Search History Ko Computer Se Delety Karna Chahte Hai To, Iske Liye Apko My Account Se Search History Ko Permanent Delete Karna Hoga. Aaj Ham Apko Batayenge Kis Tarah Ap Google Se History Delete Kaise Kare ?

Users Apne Computer Me My Account Ke Liye Sabse Pahle Chrome Browser Me Gmail Account Login Kare. Gmail Ke Right-Hand Side Apko Photo Icon Dikhega Jis Par Apko Click Karna Hai. Ab Apki Computer Screen Par Apko My Account Ki Full Website Open Hogi. Jaha Apko Phone Location, Security Check, Account Recovery, My Activity Jese Kai Options Show Honge. Apko Yaha Se Is Bat Ki Information Bhi Mil Jayegi Ki Apne Last Time Password Changed Kab Kiya Tha. Password Changed Ki Apko Date Bhi Show Hogi.

Sign In And Security :-

Users Ko Yadi Apne Gmail Account Ki Information Chahiye Jese Apka Gmail Kin-Kin Device Me Login Hua Hai To Apko Sign In And Security Se Iski Information Mil Sakti Hai. Yaha Tak Ki Users Is Bat Ka Bhi Pata Laga Sakte Hai Ki Kin- Kin Apps Ko Unka Account Access Kar Raha Hai. Jiske Liye Users Ko Apps With Account Access Option Select Karna Hoga. Jiske Bad Apke Samne Vah Sabhi Apps Ki List Show Hogi Jinhe Apka Account Access Kar Raha Hai. Users Chahe To Us List Me Se Kisi App Ko Remove Karna Chahta Hai To Vah Kar Sakta Hai. In Apps Ko List Mese Remove Karne Ke Liye Users Ko Manage Apps Option Me Jo Apps Ko Remove Karna Hai Unhe Select Kar Remove Option Par Click Kar De.

Personal Info And Privacy:-

Google User Ke Experience Ko Improves Karta Hai Yaha Apko Un Sabhi Apps Ki Information Mil Jayegi. Users Chahe To Vah Is Activity Ko Off Bhi Kar Sakte Hai.

Users Yaha Par Un Apps Ki List Ko Dekh Sakenge Jinka Use User Kar Google Hamare Experience Better Banata Hai. Users Ko Yaha Par My Activity Option Bhi Milega Jisse Vah Apni Search History Permanent Delete Kar Sakta Hai. Apki Jankari Ke Liye Bata De Ki My Activity Only Browser Ki Search History Nahi Youtube Searching Bhi Dikha Deta Hai.

Account Preferences :-

Language, Account, Storage, And Google Drive Related Sabhi Information Me Users Account Preferences Se Change Kar Sakte Hai. Yadi Users Chahe To Vah Yaha Se Accounts And Services Ko Bhi Delete Kar Sakta Hai. Users Yadi Is Section Me Kisi Tarah Ka Koi Change Karte Hai To Unhe Gmail Password Re-Entering Karna Hoga.

Without Software Pendrive Ka Password Kaise Set Kare

Chrome Browser Mai Favorites Websites Save Kaise Kare

Offline Article Padhne Ke Liye Kaise Save Kare ?

Computer Keyboard Shortcuts Key

Best HD Photo Download Search Engine

Computer Mai Bluetooth on Kaise Kare, How to use Bluetooth on your PC

Leave a Comment