Sensex Kya Hota Hai ?

Sensex Word Ke Bare Me Ham Sabhi Ne Kai Bar News Paper Ya Tv News Me Suna Hai, Ham Har Din Sensex Ke Bare Me Padhte Ya Sunate Hai, Ki Stock Market  Aaj Itne Ank Niche Aa Gaya Ya Fir Itne Ank Upar Aa Gaya. Lekin Kya Kabhi Apne Socha Hai Ki Sensex Hai Kya ? Sensex Ank Upar Niche Hone Se Kya Hota Hai ?

Share Market Me Investment Karne Vale Log Aksar Share Market Par Apni Najar Banaye Rakhte Hai. Kya Karan Hai Ki Share Bazaar Me Investment Karne Vale Log BSE SENSEX Ko Itna Seriously Lete Hai? Aaj Ham Apko In Sabhi Questions Ke Answer Dene Vale Hai. SENSEX Indian Capital Market Ka Index Hai. Ham Sabhi Ko Ye Janana Chahiye Kyo Ki Sensex Ke Ghatne- Badane Ka Sidha Asar Hamari Life Par Hota Hai.

SENSEX (Share Market) Kya Hai?

SENSEX Share Market Ke Status Show Karne Vala Ek Index Hai. India Me 2 Major Stock Exchanges Hai. 1. BSE End 2. NSE . SENSEX Bombay Stock Exchange (BSE) Index Hai. Jise Ham Sensory Index BSE 30 End BSE SENSEX Ke Name Se Bhi Jana Jata Hai. SENSEX BSE LIST Me 30 COMPANY Hai, Jinke Share Ke Base Par SENSEX Banta Hai.

Stock Market Ganana Kaise Ki Jati Hai ?

Stock Market India Ka Sabse Old Market Index Hai. Stock Market Ki Shuruaat 1979 Me Hui Thi. Sensex Base Price 100 Rakhi Gait Hi. Jiske Adhar Par Aaj Tak Iski Ganana Ki Jati Hai. SENSEX Figure 30000 Ke Par Ho Gaya Hai, Jo Market Me Huye Change Ko Show Karta Hai.

SENSEX Kese Banta Hai ?

BSE Ki 30 Companies Ke Shares Base Par SENSEX  Banta Hai. BSE Ki 30 Companies List Me Change Hota Rahta Hai, Lekin SENSEX Ganana Ke Liye 30 Companies Ke Shares Ko Hi Chose Kiya Jata Hai. Companies Shares Ki Market Me Half Partisanship Hoti Hai, Jiske Liye Inke Shares Status Ko Dekhkar Market Conditions Decide Hoti Hai 30 Companies Share Positions Dekh Kar Hi SENSEX Banta Hai. Agar Companies Share Value Badti Hai, To SENSEX Bhi Badta Hai, Our Company Share Value Down Hoti Hai, To SENSEX Niche Jata Hai. Jab Company Profits Me Hoti Hai, To Yane Share Value Bahut Bad Jate Hai, To Log Market Me Investment Karte Hai. Jisase SENSEX Bahut Upar Chala Jata Hai, Company Loss Me Hoti Hai, To Har Koi Apne Share Bech Dete Hai, Jisase Market Down Ho Jata Hai, Our SENSEX Niche Aa Jata Hai.

SENSEX Se Aam Aadmi Ko Kya Profit Hai ?

Share Bazaar Me Investment Karne Vale Log SENSEX  Par Hi Najar Rakhte Hai.Unhe SENSEX Se Market Status Ka Pata Chalta Hai, Sath Hi Unhe Market Me Investment Karne Me Kafi Help Milti Hai. Aam Logo Ki Bat Kare To, SENSEX Ka Upar Jane Se Hame Bhi Kafi Beneficial Hota Hai. Agar Market Gro Karta Hai, To India Me Investment Badega, Jiska Profit Aam Aadmi Ko Hoga.

Sensex Shabd Kaise Bana ?

SENSEX Sensitive Word Ke Sens End Index Ke Ex Se Milkar Bana Hua Hai. Indian Capital Market Ko Index Sensitive Indices Hai. SENSEX Bombay Stock Exchange(BSE) Ko Index Karta Hai, Jiske Liye Ise BSE-Sensex Bhi Kaha Jata Hai. SENSEX Ki Ganana Free-Float Market Capitalisation Method Se Ki Jati Hai. 1 January 1986 Ko Pahli Bar Sensex Published Hua Tha, Tab Se Lekar Aaj Tak Mumbai SENSEX Indicator Ki Tarah Apna Work Kar Raha Hai.

Sensex Ka Base Year1978-79 Hai, Us Smay Ke Liye Iski Base Value 100 Hai. Sensex Ko 100 Points Par Isliye Start Kiya Gaya Tha, Taki Iski Ganana Kara Easy Ho. Kyo Ki SENSEX Turnover 10% Badta Hai, To Points 100 Se Badkar 110 Points Ho Jayega. Sensex Bombay Stock Exchange (BSE) Listed Companies Shares Ki Prices Me Hone Vali Teji Mandi Ko Inform Karta Hai. Yadi Koi Bhi Company Better Performance Deti Hai, To Uske Share Ki Price Bhi Bad Jati Hai.Yadi Koi Company Ghate Me Jati Hai Ya Fir Apne Products Ko Promoted Nahi Kar Pati Hai, To Us Company Ke Share Ko Bech Dete Hai, Jis Karan Us Company Ke Share Rate Down Ho Jate Hai.

Bombay Stock Bazar Jise Ham Mumbai SENSEX Ke Name Se Janate Hai,Usme Karib 5500 Company Registered Hai, Lekin Sensex In Sabhi 5500 Company Ko Index Nahi Karta Hai.

Blue Chip Company Kya Hai ?

BSE-SENSEX Registered Company Me Se Most Active, Market Cap Ke Anusar Biggest Financially Strong End Indian Market Ki Best Top 30 Companies Ko Hi Liya Jata Hai, Jo Main Industrial Sectors Me Ati Hai. Ye Company Indian Economy Ke Industrial Areas Ko Representation Karti Hai. In Companies Ko Blue Chip Company Kaha Jata Hai. 30 Company Ki Ye List SENSEX Cap Ke Anusar Change Hoti Rahti Hai. Top 30 Companies Shares Ke Index Ko Hi Sensex Kahte Hai.

Sensex Me Company Selection Process Kaise Hoti Hai ?

30 Company Ke Selection Process Ke Liye Ek Committee Banai Gai Hai, Jise Index Committee Kahte Hai. Is Committee Me Country Ke Sections Se Professionals Present Hote Hai, Jisme Economists, Managers, Government And Banks Representatives Hote Hai.

Top 30 Company Me Shamil Hone Ke Liye Terms And Conditions

Company Ka 1 Year Tak Share Bazaar Me Active Rahte Huye Registered Hona Jaruri Hai.

Company Shares Ko Har Din Kharida Our Becha Jana Compulsory Hai.

Top 30 Company Me Shamil Hone Ke Liye Kisi Bhi Company Ka Free-Float Market Capitalisation Weightage Best Hona Chahiye.

Daily Trade And Value According Company Country Ki Big Companies Me Shamil Hona Jaruri Hai.

Sensex Ka Hamari Life Par Kya Effect Hota Hai ?

Sensex Ke Ghatne Ya Badne Se Aam Aadmi Ki Everyday Life Par Bhi Effect Hota Hai. Sensex Ka Sidha Asar Hamari Zindagi Par Padta Hai. Sensex Ke Badne Se Company Our Uske Investors (Share Holders) Ko Profit To Hota Hi Hai. Sath Hi Country Developed Hone Ke Sath Good Economy Me Bhi Kafi Madad Milti Hai.

Sensex Ke Badhne Se Hone Wale Fayde

SENSEX Ke Badhne Se Aam Log Benefited Hote Hai. Jab Bhi Sensex Badta Hai, To Company Ko Profit Hota Hai. Company Ko Profit Hota Hai, To Uske Share Rate Bad Jate Hai, Jisase Har Koi Us Company Ke Share Kharidta Hai.

Share Kharidne Se Company Ke Pas Jyada Paise Jama Hote Hai. Jo Company Ke Development Ka Karan Bante Hai. Jab Company Development Hoti Hai, To Use Jyada Logo Ki Requirement Hoti Hai. Vah Company Jyada Worker Rakhti Hai, Jisase Berojgari Khatm Hoti Hai. Sensex Share Rate Badne Se Foreign Investment Bhi Hamare Yaha Share Kharidte Hai, Jis Karan Foreign Currencies Ke Against Rupiya Strong Hota Hai. Jiske Karan Har Saman Sasta Hota Hai.Our Mahngai Kam Hoti Hai.

Sensex Ghatta Badhta Kyon Hai?

Company Market Par Dependent Rahti Hai, Our SENSEX  Company Share Ke Market Price Par Dependent Hota Hai. Market Jab Bhi Political, Social, Economic Etc Reasons Se Prabhavit Hota Hai, To Ya To Company Ko Profit Hota Hai, Ya Fir Company Loss Me Jati Hai. Company Ko Profit Hone Par Company Shares Rate Bad Jate Hai, Jiske Karan Sensex Me Teji Ati Hai. Yadi Company Loss Me Jati Hai, To Company Shares Rate Gir Jate Hai, Jis Karan Sensex Me Mandi Dekhne Ko Milti Hai. 1986 Se Lekar Ab Tak SENSEX (Sensory Index) 40000 Figures Ko Par Kar Chukka Hai.

Leave a Comment