Location Off karne par bhi Google Hum Par Kaise Rakhta hai Najar

Satellite Network se Connected hone ke karan apke Smartphone location track hoti hai. Is Feature se apko kabhi bhi kahi bhi track kiya ja sakta hai, our apka Real time track kiya ja sakta hai. smartphone User aakh band kar kai bar in sabhi Location tracking Features option to accept to kar lete hai, lekin unhe is bare me andaja nahi hota hai, ki iske bad effects kya hai.

User Data share option our location status ko off nahi karta hai to, dusre User badi asani se inhe Access kar sakte hai. Vese to Location data apke liye beneficial hai lekin apko is bat ki jankari hona chahiye ki iska kab use karna hai our kab ise off karna hai. Location Related Data Collection ka manana hai ki vah User experience ko better karna hai, lekin vah chahe to Location sharing ko off kar sakte hai.

Jab bhi Usre ko Apps ko Download kar install karta hai to, vah bina kuchh soche samjhe location sharing Permissions ko Allow kar dete hai. Jis adhar par vah AOOS apko track karte hai.

Esa jarur nahi hai ap jo App install kar rahe hai unhe Location track karne ki permission di jaye. Yah ap Depend hai ki apko kab ise on karna hai our kab off karna hai. Ap chahe to smartphone me Location tracking ko off kar sakte hai.

smartphone me Location tracking off kaise kare?

Android smartphone me Location tracking off kaise kare?

– Smartphone ki Settings me ja kar Google me Google Account par Tap kare.
– Ab User Data and Personalisation par tap kare.
– Location History me slider ko switch off kare.
– Location history ke pas Delete Location History me Store location data Delete kar de.

Iphone / ios me Location tracking off kaise kare? (How to turn off location tracking in iPhone/ios)

– Iphone ya ios ki Settings me jaye.
– Ab Privacy select kare.
– Location Service par Tap kare.
– Location history ko off kar de.

User is bat ka dhyan rakhe ki apko Google Maps, Ola ya Uber jesi Apps ka use karne ke liye Location sharing feature turn on rakhana jaruri hai. Tabhi aap in feature ko use kar sakte hai. Ap chahe to apne dvara ki Permission de sakte hai.

app ki location access kaise kare?

Android phone :-

User chahe to sabhi apps ke Permissions section me Settings kar Location services on or off kar sakte hai. Jiske liye apko Settings me Privacy me jakar Location Services asani se mil jata hai.

Iphone / ios :-

Iphone ya ios me alag se un sabhi apps ki list apko dikhai deti hai jinhe Location access ki permission di gai hai. Aap isme kisi bhi apps ko Add ya remove kar sakte hai, jiske liye apko Settings me Privacy par Click kar Location Services me is Option ko use kar sakte hai.

location off karne par bhi kese rakhi jati hai kisi par najar :-

hamare phone ki location ko Off karne ke bad ham sochate hai ki ab koi bhi hamari Location track nahi kar sakta hai. Lekin ap yah bhul jate hai ki jab koi nahi detha sath tab google devta ate kam ji ha apke dvara phone me Location off karne ke bad bhi google apki Location track kar sakta hai.

google location track se kaise bache?

yadi aap google location track se bachna chahte hai to apko apne phone ki Secret setting ko off karna hoga jiske bare me shayd apko jankari nahi hogi. Apke smartphone me ek Secret setting on hoti hai jiske karan apki location off hone ke bad bhi google apko track kar leta hai.

location track ki secret setting kaise kare?

– apne PC ya Computer me Activity Controls page open kare.
– google account me Login kare.
– Web and app activity ko off kar de.

Note :- kai bar user ko is bat par dhyan dena hota hai ki kuchh apps ese bhi hai Browsers and devices ki location ke sath activity track karne ki apni hi alag custom settings hoti hai. Jise kafi mushkil se off kiya jata hai. Kai app me location Allow bina vah apps Install nahi hote hai.

Facebook Messenger Par Live Location Share Kaise Kare?

Smartphone Users Location Tracking off Kaise Kare?

Without internet अपनी Location share कैसे करें

Gmail security tips :- Gmail account safe kaise rakhe?

Leave a Comment