Facebook Messenger Par Live Location Share Kaise Kare?

Facebook messaging app kai vyktiyo ke liye mahaj ek Social sites hai, lekin kai logo ke akelepan ka yah sathi hai. Facebook Messenger par ham apne friend se bat karte huye unki live Location ke bare me puchhte to hai, lekin hame unki bato par yakin nahi hota hai, ki vah sach bol rahe hai.

Facebook ne apki is Problem ka solution nikal liya hai. Facebook ne apne users ke liye New feature live location tracking Launch kiya hai. Facebook Messenger me add is new feature ka user ko kafi fayda ho raha hai. Ab vah apne Family or friends ki live location jan sakte hai.

Facebook messenger me live location tracking feature an eke bad ab ap Chatting ke doran live location Share kar sakte hai. Is feature ka use ap private chat me bhi kar sakte hai. Apke dvara ki gai live location Share ko 60 minutes tak track kar sakte hai. Facebook Messenger me live location tracking feature ko kaise use kare.

facebook messenger se live location share kaise kare? (How to share live location from facebook messenger)

facebook messenger se Live location tracking feature Active karne ke liye Facebook messenger app open kare, user dhyan rakhe ye Features sirf Update messenger par hi chalega, to ap yah dekh le ki apka messenger Update hai ya nahi. Sabse pahle Google play store se app Update kare.

Facebook messenger app update hone ke bad apko us user ka Chat box open karna hai jise ap apni Live location share karna chahiye. Chat box open hone ke bad apko kai Option najar ayenge jese, photo, video, GIF image, record ke alava Three point option najar ayega. Jise ham More Icon kah sakte hai. Jab ham Three point option ko tap karte hai, to sabse upar hame Location option milta hai.

Jise Click kare, user dhyan rakhe ki apko yaha Current location ke alava near by location ka option bhi najar ayega. Apni location send karne ke liye Current location par Click kare. Ab apke samne blue colour bar open hoga. Jis par Click karte hi apke samne location Map open hoga. Jise Select karte hi apke dvara Select kiye gaye user ko send ho jayegi. Ab vah user apko 60 minutes tak track kar sakta hai.

Shortcut me ese samjhe :-

– Messenger More par click kar.
– Select location.
– blue bar Tap kar location Share kare.

iOS users location share kare (How to share iOS users location)
iOS users ko apni Live location share karne ke liye location icon ko Tap karna hoga. Is Process ke bad apko current location Map show hoga. Tap me bane blue bar par tap kar apni location share kare kare.

Smartphone Users Location Tracking off Kaise Kare?

Without internet अपनी Location share कैसे करें

Gmail security tips :- Gmail account safe kaise rakhe?

Polling Booth in 2021 :- Phone se Polling Booth Kaise Pata Kare?

Leave a Comment