Brain MicroChip Kya hai, kaise Kare Use?

Jin Logon Ne Keanu Reeves Ki film Matrix Dekhi Hai, unhen is film ka ek seen bahut acchi Tarah Se Yad hoga. Film mein Hero ko villain se Ladne ke liye martial arts aur Hathiyar chalana sikhana Hota Hai. in dono technic ko sikhane ke liye Hero ek electronic Kursi par baith Jata Hai, Jiske bad Uske dimag Mein Ek Chip ko insert Kiya jata hai, jo dusri taraf se ek computer se connect hoti hai aur kuchh hi Samay Mein Hero ke mind mein Hathiyar chalane ki Vidha aur martial arts ki Sabhi file unke dimag Mein copy kar di Jaati Hai. Is Tarah vah Bina practice kare aur Bina Samay Gavaye Kuchh hi minut Mein martial arts, Hathiyar chalane Mein Mahir Ho jata hai.

Vigyan fantasy per aadharit is film ki yah kalpanik kahani Haqeeqat mein badalne ja rahi hai, aur is kalpanik Kahani Ko Hakikat Mein badalne ka jimma Elon Musk Aur Google Ne uthaya hai. Google ne artificial intelligence Yukt Ek Nai chip ka Nirman Kiya Hai, jisse Google Brain Chip Naam Diya gaya hai. Is Chip ke upyog se Hamara dimag 100 per mini computer mein tabdeel ho jaega.

Chhote se operation ke Madhyam se is Chip ka Hamare dimag mein Laga Diya Jayega Jise bad Mein computer se connect Kar Kisi bhi chij ko Ham Chand seconds mein badi aasani se Sikh sakte hain. is Chip ko Lagane ke bad Hamari sochne samajhne ki Shakti Mein Kafi badhotri Hogi. aur sath hi Hamari productivity bhi Kafi badh Jayegi.

Brain Micro Chip vyakti ko supercomputer Me tabdil Kar Degi. is Chip ko manushya ke dimag Mein operation ke jariye implant Kiya jaega. Is Chip ko Ham bad Mein computer se aasani se connect kar sakte hain. kisi bhi chij ko yadi Hamen sikhana Hai, To uske liye Na To Hamen Kahin jaane ki jarurat hai aur naahi tuition Lene Ki, balki computer Ke jariye Ham Badi aasani apne mind Mein use chij ko copy kar sakte hain.

Brain Micro Chip per sirf Google Akela hi Aisa vyakti Nahin Hai, Jo is per kam kar raha hai balki Desh Bhar Ke Kai scientist aur Entrepreneurs Is per kam kar rahe hain. Kai Logon Ne is process ko lagbhag lagbhag pura bhi kar liya hai. yadi vah is chij Mein Kamyab Ho Gaye to yah vakai Mein Adabhut Hogi.

Micro Chip Launching planning?

Google Micro Chip ko laane ki planning Logon ke dimag Mein maujud anganat neurones ko ek chip ke Madhyam se artificial intelligence se connect Kiya jaega. Is Tarah Manav ke dimag ki madad se Kisi bhi Tarah Ki genetic problem ya pareshani ko Dur Kiya Ja sakta hai, aur uske dimag ko pahle ki tulna mein aur bhi tej aur fast Banaya jaega.

is technology ke jariye biological intelligence or Digital intelligence ko ek Sath Mila kar Aane Wale Bhavishya ki nayi pidhi ko taiyar Kiya Jaega Jo vartman pidhi se Har Taraf Se Har mamle mein bahut jyada Tej Behtar AVN shaktishali sabit ho sakti hai. filhal to is technique ke jariye manushya Ki Reed ki haddi se Judi Kai bimariyon ko CO2 Dur karne AVN dimag ke Madhyam se Sharir Mein Lagaye Ja Rahe Artificial ango ka pura Niyantran lene ka Prayas Kiya ja raha hai.

Google Brain Chip Kya Hai?

Google ke dwara viksit ki gai Google Brain Chip Ke Madhyam se Ham Kisi bhi chij ko Badi aasani se Sikh sakte hain. yadi Hamen Kisi chij Ko sikhana Hai To uske liye Hamen Kahi tuition Lene ya FIR Jyada Samay dene ki jarurat Nahin Hai Hamen sirf Apne dimag Mein chip ko Fit karvana hai uske bad Ham is Chup Ke jariye computer se apne dimag me Jis chij Ko sikhana Hai use copy paste kar Badi aasani se chijon ko Sikh aur samajh sakte hain.

Google Brain Chip Kaise kam Karegi?

Is Chip ko Lagane ke bad Ham Kisi bhi chij Ko Yad karne ki jarurat Nahi hai. per yah chip ISI Tarah Se Kam Karegi Jaise Hamare phone ka smart assistant kam karta hai. yah device direct Hamare dimag ke sath connect hokar use important Jankari uplabdh karegi.

udaharan ke Taur per yadi Samjha Jaaye to yadi Aap Ko Kisi prashn Ka Answer Janna hai, to aapko sirf use prashn ke bare mein sochana Hoga aapke sochne Matra Se Hi Aapke dimag Mein Lagi Hui Chip ko signal bhejne lag jata hai, aur yah chip turant hi is prashn ka Answer Khoj kar aapke dimag ko Wapas signal Deti Hai, Jise aap Bina soche samjhe Sahi Answer Bata Sakenge. Kisi Bhi chij ki jankari Ke Liye aapko Matra use chij ke bare mein Sochne Ki Zaroorat Hai Jiska Answer aapko automatic hi mil jaega.

Google brain Chip use kaise Kare?

Bataya ja raha hai ki is chip ko manushya ke dimag Mein Lagane ke bad student ko Kuchh Bhi Yad karne ki jarurat Nahin padegi. use fatafat Sab Kuchh Yad ho jaega aur Jis chij Ko unhen sikhna Hai iske liye unhen na to homework karne ki jarurat hai aur na hi Kisi bhi Theory ko Ratta marne ki avashyakta hai.

aap Bina kisi pareshani ke ek second mein kisi bhi chij ko Sikh sakte hain aur use taknik Mein Mahir ho sakte hain. yah To Hui study Ki Baat aap Chahe to is Chip ke use ke bad aap Bina Hath Lagaye Kar Bhi Chala Sakenge. phone per baat bhi kar Sakenge, pizza order bhi kar Sakenge Yaha tak ki aapke sochne Matra Se Ghar Ki Har EK machine ko kam karne ke liye instruction bhi De Sakenge. yadi aap apne Jeevan Ki Kisi ghatna ko Hamesha ke liye Bhulna Chahte Hain, To aap aisa bhi kar Sakenge.kul milakar Dekha Jaaye to Aapka Jivan Puri tarike se automatic ho jaega.

 Google Brain Chip Testing Round  :-

Filhal Google Brain Chip parikshan ke Daur se Gujar rahi hai. jald hi ise market Mein launch Kiya Ja sakta hai. Abhi Tak is Chip ki kimat Ka khulasa nahin kiya Gaya Hai, Lekin andaza Lagaya ja raha hai ki is Chip ki kimat 1000 American dollars Per implant Ho sakti hai. kaha ja raha hai, ki bad Mein iski kimat kam ho sakti hai.

Technique work :-

vaigyaniko ke anusar Manushya ke dimag me Arabon kharbon Neurons Hote Hain, Jo Ek dusre se Jude Hue hote hain. ye Neurons dimag ke andar electronic signal se kam Karte Hain. In Neurons ki madad Se Hi Ham Apne Sharir per control rakhte Hain. Google Brain Micro Chip Bhi Ek Aisa Hi neurones connector circuit hai, jo Hamare dimag ke Neurons se jud jata hai. aur Hamare Sharir ke electronic signal se samvad karne lagta hai. Is Tarah Hamare dimag Mein Lagi Hui Device se connect ho kar dimag ko control karne lag jata hai.

Google Brain Chip se Hamara Future Kaisa Hoga?

Kaha ja raha hai ki Brain Micro Chip ped Manavta Ka Aane Wala sunhara Bhavishya hai. Aane Wale Salo Mein is technique ko smartphone Se Bhi Jyada Prasiddhi Hasil ho jayegi. vaigyanikon ke dimag Mein chhupi Technology ka bhi pura prayog karne ki isme Shakti Hogi. is technique ka use kar log apni purani Baton ko bhul sakte hain jinhen vah Bhulana chahte hain aur sirf unhen Baton Ko Yad Rakh sakte hain jinhen vah Yad Rakhna Chahte Hain. Is Tarah vyakti Apne Jivan mein aane wale negative thoughts ko Hamesha ke liye Khatam kar sakte hain.

Dangers Technic :-

is technology ke jitne fayde Hain utne hi Iske Khatarnak ok parinaam bhi hai. Kai neuroscientist ne is technology ko Manavta ke liye Khatra bhi bataya hai. Brain Micro Chip se ek machine aadami ko Zombies Mein tabdil Kar Degi. Is condition mein machino mein aur aadami mein pahchan kar Pana Kafi Mushkil ho sakta hai, ho sakta hai ki machine Manav ke dimag ko control kar Khatarnak Cyborg Mein Badal De aur sab kuch Khatam kar sakte hain.

Secondary microphone क्या है, जानिए क्यों यूज किया जाता है smartphone में

Technology Ne Badla Duniya dekhne ka Nazariya

Smartwatch App kya hai ?

Ghar Ke Gadgets Upgrade kaise kare?

Leave a Comment