Mobile Hang Problem Solution In Hindi

Jab Bhi Ham Mobile Kharidte Hai To Wo Ekdum Makkhan Ki Tarah Chalta Hai Lekin Jaise Hi Kuch Din Hote Hai Waise Hi Mobile Hang Hone Lagta Hai. Mobile Hang Kaise Ho Raha Aap Ye Sochte Hai Aur Mobile Hang Problem Ka Soution Dhundhte Hai. Mobile Hang Problem Ka Solution Kaafi Aasan Hai Aur Aapke Mobile Me Hi Chupa Hai.

Mobile Hang Kyu Hota Hai?

Mobile Hang Kare To Kya Karna Chahiye Isse Pahle Jaruri Hai Ki Mobile Hang Kyu Hota Hai. Darasal Jab Bhi Ham Naya Mobile Kharidte Hain To Uski Memory Aur Ram Par Itna Load Nahi Hota Hai Lekin Jab Ham Use Upyog Karte Hai Aur Application Download Karte Hai To Usme Automatic Unwanted Files Banti Hai Jo Mobile Ki Space Ka Use Karti Hai. Aap Bhale Hi In Apps Ko Delete Kar Dete Hai Lekin Inki Banai Gai File Aapki Storage Se Delete Nahi Hoti Hai.

Mobile Hang Kare To Kya Karna Chahiye

Sabse Pahle Aap File Manager Me Jayie Aur Dekhiye Ki Kounsi File Hai Jo Aapke Kaam Ki Nahi Hai Aur Use Delete Kar Dijye. Aisa Karne Se Aapke Mobile Me Bahut Sari Jagah Khali Ho Jayegi. Iske Alwaa Aapke Mobile Me Jitne Bhi Unwanted Apps Hai Unhe Bhi Uninstall Kar De.

Mobile Speed Booster Apps

Upar Batai Gai Trick Ke Alawa Aap Kuch Apps Ki Madad Se Bhi Apne Mobile Ki Speed Ko Bada Sakte Hai.

Duplicate File Fixer : Is App Ki Madad Se Aap Un File Ko Dhund Payenge Jo Double Hai. Matlab Ek File Hai Jo Do Baar Hai. Aisi File Bhi Aapki Storage Ka Use Karti Hai Aur Mobile Ko Slow Karti Hai. Inhe Delete Karke Aap Apne Mobile Ki Speed Ko Bada Sakte Hai.

Booster + : Ye Aap Aapke Mobile Me Mojud Junk File Ko Hatane Me Madad Karta Hai. Jab Bhi Apko Lage Ki Aapka Phone Hang Ho Raha Hai To Aap Is App Ki Madad Se Junk File Ko Delete Kar Sakte Hai.

To Ye Thi Wo Tricks Jinki Madad Se Aap Apne Smartphone Ki Speed Koi Bada Sakte Hai. Aap Chahe To Aur Kisi App Ki Madad Bhi Le Sakte Hai. Google Play Store Par Kai Apps Mojud Hai Jinse Aap Apne Smartphone Ki Speed Ko Bada Sakte Hai.

Photo Ka Background Kaise Badle, Free Background Remover Tool

Computer Me Folder Lock Kaise Kare

जानिए क्या है NEFT, RTGS, IMPS Net Banking

Mobile Se Bina Internet File Transfer Kaise Kare, Best File Transfer App?

Mobile Phone Chori Hone Par Kya Kare

Leave a Comment