Mobile Se Bina Internet File Transfer Kaise Kare, Best File Transfer App?

Laptop, computer aur smartphone inka use ham sabhi karte hai. Kabhi-kabhi aapko smartphone se PC ya PC se smartphone me koi data transfer karna hota hai aur iske liye ham USB Cable ka use karte hai lekin agar aapke pass USB Cable na ho aur aapko data transfer karna ho to aap kya karoge. Agar aapke pas USB Cable nahi hai to bhi aap data transfer kar sakte hai wo bhi bina internet ke. Iske liye ek trick hai jise ham is article me share karne jaa rahe hai.

Bina internet ke data transfer kaise kare?

Bina Internet ke smartphone se pc ya laptop me data share karne ke liye aapko third party app ki madad leni padegi kyonki iski setting aapke mobile me nahi hoti hai. Aap Google play store se File transfer app ya file sharing app download kar sakte hain jinhe ham aapko niche batane wale hai.

Data transfer app for smartphone

– Xender

– Airdroid

– Web sharing lite

– WIFI File transfer

Xender se data kaise transfer kare?

Upar batai gai apps ko aapko download karna padega lekin adhiktar users ke mobile me Xender hota hai ilsiye ham aapko xender se file transfer karne ka tarika bata rahe hai.

– Sabse pahle Xender on kare aur isme profile icon par click kare.

– Yaha aapko connect PC ka option dikhai dega.us par click kare.

– agar aapke pas internet nahi hai to isme “Hotspot” ka option chune.

– Hotspot me “Hotspot Create” par click kare.

– aisa karne se aapka mobile ek wifi network banayega jise aap laptop ya pc me connect kare.

– Jab aap laptop ya PC me wife connect karenge to aapke mobile par permission ke liye notification aayega use allow kare.

– Iske baad aapke mobile ka sara data aapki computer screen par show hoga use aap yaha se download kar sakte hai. Iske liye aapka internet data consume nahi hoga.

– Aap chahe to Computer ki file ko bhi mobile me le sakte hai. Iske liye bas aapko kisi bhi file ko pick karke xender me upload karna hai.

To is tarah aap aasani se bina internet ke apne mobile se koi bhi file apne computer me le sakte hai. Jo process isme hai wahi anay dusre apps me bhi follow hota hai. Aap chahe to kisi bhi file sharing app ka use kar sakte hai.

Whatsapp Call Kaise Record Kare, Best Whatsapp Call Recorder?

Mobile Phone Chori Hone Par Kya Kare

छोटे व्यापारियों को यह Bank दे रहा है 10 करोड़ का Loan

Business Ideas in Hindi : बिना पैसों के शुरू करे ये 5 Business

Photography के लिए कौन-सा Apps इस्तेमाल करें

Indian Government के 6 Apps , हर समस्या का है समाधान

Leave a Comment