Computer Me Folder Lock Kaise Kare

Jo Log Bhi Computer Ya Laptop Chalate Hai Wo Usme Apna Dher Sara Data Rakhte Aur Us Folder Ka Rakh Rakhav Karte Hai. Lekin Kai Bar Aisa Hota Hai Ki Aap Chahte Hai Ki Kisi Specific Folder Ko Lock Kar Diya Jaye Jise Aapke Siva Koi Open Nahi Kar Paye. Kai Log Janana Chahte Hain Ki Folder Lock Kaise Lagaye Ya How To Folder Lock In Computer In Hindi. To Aapki Is Problem Ka Solution Aapko Is Article Me Milne Wala Hai.

How To Lock Folder In Computer In Hindi

Agar Aap Apne Computer Ke Kisi Folder Ko Lock Karna Chahte Hai Ya Kisi Folder Par Password Lagana Chahte Hai To Aapko Ek Software Ki Jarurat Padegi. Waise To Is Software Ko Sabhi Use Karte Hai Lekin Aapke Pas Agar Ye Nahi Hai To Aap Ise Aasani Se Internet Se Download Kar Sakte Hain.

Free Folder Lock Software : Win Rar Software

Ye Software Aamtour Par Sabhhi Computer Me Hota Hai Compressed File Ko Open Karne Ke Liye Agar Aapke Pas Nahi Hai To Aap Ise Internet Se Download Kar Sakte Hai. Yahi Ek Free Software Hai Jiski Madad Se Aap Kisi Bhi Folder Par Lock Laga Sakte Hai. Aap Direct Kisi Folder Par Lock Nahi Laga Sakte.

Kisi Folder Ko Kaise Lock Kare?

– Sabse Pahle Aapko ‘Win Rar’ Naam Ka Software Install Karna Hai.

– Iske Baad Aapko Us File Ya Folder Par Jaakar ‘Right Click’ Karna Hai Jise Aap Lock Karna Chahte Hai.

– Right Click Karne Ke Baad Ek Option Aayega ‘Add To Archive’ Aapko Us Par Click Karna Hai.

– Iske Baad Ek Choti Si Window Open Hogi. Jisme Dher Sare Option Honge.

– Window Me Upar Ki Taraf Top Me ‘Advance’ Naam Ka Option Hai Us Par Click Kare.

– ‘Advance’ Me Jaakar Aap ‘Set Password’ Ka Option Dikhai Dega. Aapko Us Par Click Karna Hai.

– Isme Aapko Ek Password Set Karna Hai.

– Bas Fir ‘Ok’ Par Click Kar De.

Is Tarah Aapki File Ek Zip File Ban Jayegi. Iske Andar Jo Bhi Jaakar Aapki File Ko Open Karega Use Password Ki Jarurat Padegi. Is Tarah Aap Aasani Se Kisi Bhi File Ya Folder Par Lock Laga Sakte Hai Aur Apni Files Ko Secure Kar Sakte Hai.

जानिए क्या है NEFT, RTGS, IMPS Net Banking

Mobile Se Bina Internet File Transfer Kaise Kare, Best File Transfer App?

Whatsapp Call Kaise Record Kare, Best Whatsapp Call Recorder?

Mobile Phone Chori Hone Par Kya Kare

छोटे व्यापारियों को यह Bank दे रहा है 10 करोड़ का Loan

Business Ideas in Hindi : बिना पैसों के शुरू करे ये 5 Business

Leave a Comment