Kya Hai Google AI Platform? Kaise Karta Hai Kam

Google samay-samay par apne Users ke liye new Features Launch karta rahta hai, taki google users ko ho rahi Problem Solve ki ja sake. Apne badte users ko dekhte huye google ne AI Tools Launch kar users ko Big gift diya hai. Google ne AI Tools Launch karne kle alava our bhi kai Important announcements kiye hai, jo users ke liye kafi faydemand sabit ho sakte hai.

Sabhi Important announcements ke bavjud AI and machine learning par jyada par jyada jor diya gaya. Kaha jar aha hai ki users ko ye sabhi Features Pre-built models and easy services ke sath Available karaya jayega. Users in Features ka use kar Custom models ready kar sakenge. Google ne AI platform beta bhi launch kiya hai.

AI Platform Launching Main Reason :-

Google ke dvara AI platform launch kaerne ka main reason Developers and Data Scientists ko Models Building, Testing evm unke Promotion ke liye End to end service available karana hai. Is Process me Current products end New products ko sath me le kar Complete data pipeline Create karne ke liye Allow karna hai. Is Process ko label kahte hai. New Built-in Labeling Service ki help se current classifications ka use karti hai.

New Features AI Platform Details :-

New features AI platform me Special features AutoML Tables hai, jo Present Tabular data hai jiski Help se Google BigQuery Database or Storage Service me sahi se use ho sake. Ye features automatically Model create karta hai, jo Column value ki Prediction karne me puri tarah se Capable hoga. photo Object detect karne ke liye google ne AutoML Vision Beta version launched kiya hai. Jo apps edge par Moving karte hai, unke liye AutoML Vision Edge Beta Vision launch kiya hai.

Automatically digital document end scanned document analyze karne ke liye google ne Document Understanding API Beta Version launch kiya hai. Ye bhi ek tarah ka Platform hi hai, jo scanned page text to machine readable text me Convert karne ki users ko Facility deta hai. Google other machine learning services ke use se Data extract kiya jata hai. Jo users ke liye bahut hi shandar hai.

जानिए सबकुछ कैसे जनता है Google, कहा से मिलती है जानकारी

Google AdSense, AdMob, Ad Manager Policy Update In Hindi

Google से पैसे कैसे कमाएं. गूगल के कौन से प्रोडक्ट से करें कमाई

Without Internet Google Map Kaise Use Kare?

Google Map पर पता डालना है, फॉलो करें ये प्रोसेस

Leave a Comment