Normal TV ko Smart TV Kaise Banaye?

Badlte samay me har chij High tech technology vali ban rahi hai. E-commerce websiteb ho ya fir Offline store har taraf sabhi chije Smart ho rahi hai. In dino smart TV ka chalan kafi bada hai.

Har koi apne purane TV ko replace kar High tech technology vala smart TV kharid raha hai, yadi aap bhi apne purane TV ko bechkar naya smart TV kharidne ka soch rahe hai to jara rukiye kyo ki aap ek trik se asani se apne sadharan TV ko smart TVme badal sakte hai.

Aap apne purane TV ko mahaj 1 hajar rupye kharch kar Simple tv ko smart TV bana sakte hai. Aap is Trick ko Use kar apne sadharan TV me bhi Internet ke alawa Facebook , WhatsApp or bhi kai app chala sakte hai. Is trik se ap apni TV se Phone ko Wireless connect kar sakte hai.

Ye tricks kare Follow :-

– Apne sadharan TV ko smart TV banane ke liye apko Chrome device chahiye.
– Chrome device apko Online 1000 me mil jata hai.
– Chrome device ka dusra name Wireless Chromecast Airplay Dongle hai.
– Apki jankari ke liye bata de ki Chrome device HDMI Port hota hai to, jaruri hai ki yah apke TV me bhi Port ho.
– TV me Port device ka Plug-in kar de.

Power ke liye Chrome device me Micro usb port lagaya jata hain. Jise Connect karne ke liye USB cable Adopter ya fir TV ke USB se Connect kar de.

Kai bar Port ke samne hi Chromecast likha dikh jata hai, lekin yadi nahi dikhta to apne apni TV me apne jo Chrome device lagaya hua hai, use apne tv remote se Select kare.

Apne Phone ke Cast option ko ON kare.yadi apke Phone me ye Feature nahi hai to Google play store iska App install kar le. Ye app Chrome device ko search karte huye connect kar leta hain.

Aapka phone device se sahi tarah se connect ho jata hain to, apke phone ki display TV ki display par dikhai deti hai.

Is connectivity ko Wireless connectivity kaha jata hai. User ab apne phone par jo bhi kam karega vah TV display par najar ayega, fir vah WhatsApp, movie, Facebook jo bhi ho sabhi chijo ka maja vah apne TV par le sakta hai.

OLED vs LED vs LCD क्या है, कौन सी Technology TV के लिए है Best?

लोगो की पहली पसंद बने Nokia Android Smart TV, जानें कीमत और फीचर्स

Television को Smart TV क्यों कहते है?

Make in India के तहत Launch हुई UBON Smart LED TV, जानिए क्या है खासियत

Leave a Comment