Gmail Se Delete Mail Recover Kaise Kare

Jab Bhi Ham Apne Phone Me Internet Ka Use Karrte Hai To Sabse Pahle Ham Apna Gmail Banate Hai. Gmail Ka Use Ab Har Jagah Hota Hai. Koi Apps Download Karna Hoy A Fir Koi E-Mail Karna Hog Mail Ka Use Compulsory Ho Gaya Hai. Kai Bar Gmail Ke E-Mails Jyada Ho Jane Ki Vajah Se Ham Unhe Delete Kar Dete Hai , Lekin Bat Me Yada Ta Hai Ki Jo Kam Ka Email Tha Use Bhi Hamne Jaldbaji Me Delete Kar Diya Hai.

Kai Bar Jis E-Mail Ki Hame Jarurat Hoti Thi Use Bhi Ham Delete Kar Dete Hai, Lekin Aap Delete E-Mail Ko Bhi Recover Kar Sakte Hai. Iske Liye Apko Sirf Information Hona Chahiye Ki Kis Tarah App Google Gmail Ke Delete E-Mail Ko Recover Kar Sakte Hai. Lekin Ek Bat Ka Dhyan Rahe Ki Users Sirf Usi E-Mail Ko Recover Kar Sakta Hai, Jo 30 Days Ke Andar Delete Huye Hai. Isase Jyada Din Hone Par Ap Un E-Mail Ko Recover Nahi Kar Sakte Hai.

Gmail Hamesha Users Dvara Delete Kiye Jane Vale E-Mail Ko 30 Days Tak Recover Karne Ki Permission Deta Hai. 30 Days Ke Bad Gmail Bhi Us Data Ko Permanently Delete Kar Deta Hai. Users Fir Kuchh Bhi Kar Le Vah Un Delete E-Mail Ko Kabhi Bhi Recover Nahi Kar Sakta Hai.

Delete Email Ko Recover Kaise Kare ?

Users Apna Gmail Account Login Kare. Ab User Main Interface Left Side Compose Ke Pas Kai Options Show Honge, Apki Jankari Ke Liye Bata De Ki Inme Folder Ke Sath Sub-Folder Bhi Hote Hai. Ab Users More Options Par Click Kare Jaha Unhe Kai Option Show Honge.

Inme All Mail, Trash, Chats, Categories, Manage Labels, Create New Label, Spam Option Honge Jisme Se Apko Trash Option Select Karna Hoga. Ab Hame Jo Bhi Items Recover Karna Hai Unhe Select Kare. Jab Ap Unhe Move To Inbox Karenge To Vah Apko Apke Gmail Ke Mail Box Me Show Hone Lag Jayenge.

Gmail Ke Mail Ek Sath Delete Kaise Kare ?

Har Koi Apni Gmail Id Ka Use Professional Work Ke Liye Hi Karta Hai. Jis Karan Kai Bar Hamare Gmail Ke Inbox Me Kai E-Mail Jama Ho Jate Hai, Inme Se Kai E-Mail To Hamare Kam Ke Hote Hai, Lekin Kai E-Mail Ese Hote Hai Jo Hamare Kisi Kam Ke Nahi Hote Hai. Kai Bar Ham Un E-Mail Ko Delete Karte Karte Thak Jate Hai, Lekin Ham Apko Aaj Esi Trick Batane Vale Haio Jiski Madad Se Ap Badi Asani Se Apne Un E-Mail Ko Delete Kar Sakte Hai Jo Apke Kisi Kam Ke Nahi Hai.

Gmail Useless Mails Delete :-

1. Sabse Pahle Users Apne Mobile Ya Computer Me Gmail Account Login Kare.
2. Gmail Ka Inbox Open Kare.
3. Inbox Me Select Option Ata Hai Jaha Se Ap Multiple Message Select Ya Tick Kar Sakte Hai.
4. Ap Jis Mail Ko Delete Karna Chahte Hai To Unhe Select Ya Tick Kare.
5. Select Mail Ko Delete Karne Ke Liye Apke Samne Delete Ke Logo Ko Click Kare.
6. Jese Hi Delete Logo Par Click Karenge To Apke Dvara Select Kiye Gaye Sabhi Mails Apke Gmail Inbox Se Delete Ho Jayenge.

Users Yadi Chahe To Vah Apne Anusar Ek–Ek Mails Ko Tick Kar Bhi Delete Kar Sakte Hai. Yadi Galti Se Apse Jaruri Mail Delete Ho Jata Hai To Upar Batai Gai Process Ko Follow Kar Ap Apne E-Mail Ko Recover Kar Sakte Hai.

Lekin Dhyan Rahai Ki Apke Dvara Delete Kiye Gaye E-Mail Ko 30 Din Se Jyada Ho Jayenge To Ap Un Mails Ko Kabhi Bhi Recover Nahi Kar Payenge. Is Liye Jab Bhi Ap Kisi Mail Ko Delete Kare To Pahle Check Kar Le Ki Vah Mail Apke Kam Ka Hai Ya Nahi.

Leave a Comment