Scarcity marketing kya hai, kaise karen use?

Marketing world mein customer aur product ke bich connection badhane ke Liye Har Roz naye naye prayog Kiye Ja Rahe Hai. ISI kadi Main E-Commerce sectors field mein jo marketing innovation trend kar raha hai vah Scarcity marketing hai. Normal bhasha mein Yadi Scarcity marketing ko Samjha Jaaye to ismein Ek Fix Samay Main design kiye Gaye product customer ke liye uplabdh rahte Hai.

Scarcity marketing kya hai? What is Scarsity Marketing

Yaha marketing online bahut jyada hi famous hai. digital marketing ke Yug me Global Kam Karne Wali Sabhi E-commerce companiya Scarcity marketing Ka use karte hue bahut jyada fayda Utha rahi hai. 

Scarcity marketing kaise kare? How to do Scarsity Marketing

Scarcity marketing Karne se pahle aapko Kuchh Jaruri Bato ki jankari Hona bahut hi avashyak hai yadi aap in Sabhi Jaruri Bato ka vishleshan kar lete Hai, to aapko Scarcity marketing karne mein kisi bhi Tarah Ki Koi pareshani ka Samna nahi karna padega.

Product uplabdhta ki jankari :- ( Product Availability Information )

Scarcity marketing ke is tool ko use karne se pahle aapko is baat ki jankari Hona bahut hi jaruri hai ki aapke kis product ki demand sabse jyada hai. Jab aapko is baat ki jankari Ho Jaaye to aapko use product ki inventory per Jyada Dhyan Dena Hota Hai, Jab use product ki sankhya Mein Kami Hone Lage to display section me aapko Unki sankhya ke bare me batana chahie jisse customer Ka dhyan Vishesh kar use aur Jyada Jaaye. theek ISI Tarah jab online ya offline sale ka option aata hai to aap ko timer ka use karna chahie, Sat hi Aap Yaha countdown ka bhi use kar sakte Hai jisse ki customer aap ki taraf jyada aakarshit ho sake.

Season ke anusar Rakhe offer :-

Aap apne Kisi bhi product par Jab offer rakhte Hai, To aapko season ke anusar Un per offer Rakhna chahiye. Iske liye aapko study karna Hogi aur aap ko Apne target customer ke anusar rakhna chahiye, aur unhen kis season mein kya offer Diya Jana theek Hoga is baat ki jankari aapko Hona bahut jaruri hai.

Scarcity marketing main Bada surprise Ek tool Hota Hai, isliye aap apne customer Ko Jitna Jyada surprise Karenge vah utani Adhik Samay Tak aap se connect me rahega. marketing ke Sabhi triko mein se Scarcity marketing Mein seasonal offer Kafi famous hai. ise aasani se samajhne ke liye aap Kisi bhi E-commerce platform Ka Sahara Le sakte Hai. Nai entrepreneur ke liye bahut jyada faydemand ho sakta hai.

Limited Edition Hai zaroori :-

Scarcity marketingTabhi prabhavit Hoti Hai Jab aap iska use limited-edition ke product main Karte Hai. II example ke Taur per Yahi Samjha Jaaye to yadi aap ek t-shirt maker hai to aapko Kuchh Aise special design wale T shirts customer ko offer karna hoga jo Samanya product se Thode alag ho aur unki design bhi aaj ke trend se prabhavit ho.

aap Uske Limited stock ke sath sampurn Jankari customer ko lagatar Apne platform se dete Rahe, yadi product khatm bhi ho jata hai to aap Usi Patton ya design wale product Ko Ek Bar FIR Apne platform per laa sakte hai, yadi aap Aisa karte Hai to customer aapke is marketing ke patton se bilkul bhi prabhavit nahi Hoga aur aap ki puri mehnat West Jayegi.

Realtime data ka Kare use :-

Digital marketing karne ke liye sabse pahle Hame customer data aur uska analysis karna bahut hi Jaruri Hota Hai. Scarcity marketing main bhi data ka use Badi aasani se Ham kar sakte Hai. is product ki sale ke liye ham Scarcity marketing Apna rahe hai vah Hame real time customer data ko bhi show karna chahiye, jisse dusre customer bhi is Baat Ko Jaan sake ki aapke is product ko Lekar kitne customer aapki aur aakarshit ho rahe Hai, halaki aap Chahe to offline sale Main Bhi Is Tarah Ke real time data ka use kar sakte Hai.

Youtube video Trending में कैसे लाये ?

OLED vs LED vs LCD क्या है, कौन सी Technology TV के लिए है Best?

Online work क्या है, जानिए इसके फायदे और नुकसान

सोशल मीडिया से बने सुपरवुमेन कमाए लाखों रुपये?

Spam Call क्या है, स्पैम कॉल और SMS Block कैसे करे?

ऑनलाइन वीडियो कोर्स कैसे बनाये, जानिए पूरी प्रोसेस

Leave a Comment