Keyboard Function Key :- Keyboard Ke F1, से F12 Ka Kya Hai Matlab?

Computer keyboard ko jab ham pahli bar dekhte hai, to kai tarah ke man me questions ate hai, ki akhir keyboard Keys ka matlab kya hota hai? Keyboard par hame har chij ka matlab to pata hota hai, lekin Keyboard par F1se lekar F12 ka kya matlab hota hai?

keyboard Key me kai Keys ka upyog Shortcut Key me kiya jata hai, aaj ham apko F1 se F12 tak sabhi Key ka matlab batane vale hai, is jankari se apko Compute chalane me kafi asani ho jayegi. Computer me in sabhi Keys ko kisi khash kam ke liye Install kiya hai.

F1 key

Computer on karte samay yadi User F1 Key press karte hai to, ap Computer setup Me chale jayenge,vaha ap Computer ki Settings Change kar sakte hai.

F2 key

Windows operating system par Rename file karne ke liye F2 shortcut keyuse karte hai. Yadi User Microsoft Word me ise use karta hai to, file ka Print preview dekh sakte hai.

F3 key

User ko Windows me koi File or folder nahi milta hai to, vah F3 Key Search box open kar Search box me File ko Search kar sakta hai. MS-DOS me Type ki gai command ko dobara Type karne ke liye use hota hai.

F4 key

Microsoft Word me F4 press karne se jo shabd Type kiya hai vah dobara se type ho jata hai. Ise purana kam dobara karne ke liye use kiya jata hai.

F5 key

User F5 Key ko us smay press karta hai jab use Computer Refresh karna hota hai, lekin Powerpoint slide show shuru karne ke liye bhi is Key ka use hota hai.

F6 key

MS Word me oll Documents ko ek sath dekhne ke liye Control+Shift+F6 press kiya jata hai.iske alava is Key ko press karne se Windows Open Folders Content Show one lagte hai.

F7 key

F7 ko MS Word me press karne se Words ki spelling Check hogi.

F8 key

MS Word me Text Select karne ke liye F8 Key ka upyog kiya jata hai.

F9 key

Microsoft Outlook me jab bhi email Sending ya receiving karna hota hai to F9 press kiya jata hai. New system me Screen brightness control karne ke liye F9 use kiya jata hai.

F10 key

Shift our F10 sath me press karne se yah Mouse ke right click ki tarah kam karta hai. Software par is key se Menu open hota hai.

F11 key

Browser me full screen ke liye F11 ka use hota hai.

F12 key

Microsoft file save karne ke liye F12 use kiya jata hai. Jabki MS Word me Savs As ke liye ise use kiya jata hai.

keyboard shortcut se nahin hogi mouse ki jaroorat

Phone को Computer का Mouse और keyboard कैसे बनाएं?

Computer Keyboard Shortcuts Key

Best Interesting Technology Facts In Hindi 2021

Leave a Comment