keyboard shortcut se nahin hogi mouse ki jaroorat

Computer chalane ke liye kai chijo ka hona jaruri hota hai. Yadi ham kahe ki bina Mouse ya keyboard ke Computer chalao to kya ap chala sakte hai, shayad apka jawab nahi hoga lekin apko yadi keyboard ke Shortcutke bare me pata ho to ap badi asani se bina Mouse se Computer chala sakte hai.

Ham apko Keyboard ke shortcuts ke bare me batayenge jisse ap apna kaam or bhi jaldi kar payenge. Our apko kai kam me Mouse ki jarurat bhi nahi hogi.

Ctrl+Z

Notepad par Type karte hue yadi kuchh Delete ho jaye to, ham Keyboard ke

shortcuts se use vapas la sakte hai. Text vapas lane ke liye Control plus z ek sath press karna hoga.

Ctrl + A

Is shortcuts se ap kisi bhi File ya folder ko ek bar me hi all Select kar sakte hai.isse apka kafi samay bachega. Or apko Mouse ki Avshyakta nahi hogi.

Ctrl + C

Vese to har kisi ko is shortcuts ke bare me pata hai, ap Ctrl + C se kisi bhi text ko Copy kar sakte hai .

Alt + Tab

Tab ke bich me switch karne ke liye Alt + Tab ka use kiya jata hai. Alt button ke sath Tab button ko Click kare isse window Change kar sakte hai.

Ctrl + Alt + Del

laptop ya Computer hang hota hai to, Control, Alt and Delete ek sath press Task manager box Open kar device close kar sakte hai.

Ctrl + N

web browser me new window Open karne ke liye apko Mouse ki jarurat nahi padegi. User is Shortcut se new window Open kar sakega.

Phone को Computer का Mouse और keyboard कैसे बनाएं ?

Computer Keyboard Shortcuts Key

Best Interesting Technology Facts In Hindi 2021

Leave a Comment