find your lost mobile :- Chori huye phone ki Location track kaise kare

Logo ki Life smartphone me simat kar rah gai hai. Apne phone ke madhyam se ap kai jaruri kam kar sakte hai. Har kisi ke smartphone me unka Important data our documents Save hota hai, jise secure karne ke liye vah kai tarah ke pryas karta hai. Lekin kisi ko is bat ka andaja nahi hota hai ki kab apka smartphone chori ya gum ho jaye is bat ka andaja koi bhi nahi laga sakta hai.

Android users ko bhi apne smartphone me ese kai Features diye jate hai jisase vah apne phone ko track kar uska pata laga sakta hai. Agar apka smartphone bhi chori ya fir gum ho gaya hai to apko Panic ya Tension lene ki jarurat nahi hai, ap badi asani se apne khoye smartphone ka pata laga sakte hai.

Kai logo ka saval hota hai ki Mobile Chori Ho Jaye Ya Kho Jane Par Kya Kare ? Smartphone user kai tarah se apne khoye phone ke bare me pata laga sakta hai. Aaj ham apko kuchh esi Trick ke bare me batayenge jisse ap apne phone ki Location ka pata laga sakte hai.

Ghum hue smartphone ko khojne ke liye in bato ka dhyan rakhe

– Apke smartphone ko tabhi khoja ja sakta hai jab apka phone on ho our usme apka Gmail account login ho.
– Apke phone me Internet data ya Wi-Fi se Connect hona chahiye.
– Phone ki Location pata karne ke liye usme GPS system on hona chahiye.
– Find my device ka on hona jaruri hai.

phone ki location kaise pata kare?

– apne smartphone ki location janane ke liye apko sabse pahle apne Smartphone ya pc par www.maps.google.co.in open kare.
– Apke khoye hue phone se jo Google account link hai us Google account ko login kare.
– right site Upar ki taraf corner par Tap kare.
– Apke samne Your Timeline option ko Select kare.
– Ab ap jis date, day ya month ki location janana hai use Select kare.
– Ab apke samne apke device ki history current location ke sath map par dikhai degi.

NOTE :- User is bat ka dhyan rakhe ki is Feature ka use aap tabhi kar sakte hai jab apka phone on ho our uski Location service bhi on ho.

IMEI :- 

Smartphone jab bhi ap kharidate hai to uske box par ek IMEI Number hota hai, jise apne phone me * # 06 # dial kar pata lagaya ja sakta hai. Yadi apka phone ghum ya chori ho gaya hai to Police station me report karane par Police Cyber Cell ki madad se Phone location track kar legi.

Avast! mobile security :-

Avast! mobile security Free invisible security application hai, jo apke phone ko viruses ko Protects to karta hi hai sath hi Smartphone ke chori hone par SMS dvara Location track kar sakte hai.

Mobile chase-location tracker :-

Yadi koi vykti apka phone chori karne ke bad usme new sim chalata hai to, Mobile chase-location tracker ki madad se new sim ke Number our location dusre Number par send kar deta hai.

Thief tracker :-

Ye Applications Front front camera se photo Click kar apke E-mail par send kar deti hai.

Smart look :-

Ye Software bhi front camera se photo Click kar E-mail par send karne ke sath Gps tracking system ki vajah se Google map se link hokar phone ki location bata deta hai.

Anti- theft alaram :-

Is Applications ki khashiyat hai ki yadi ap apna phone kahi bhul jate hai our koi vykti use chalata hai to vah Fast alarm ring bajne lagti hai. Our yah ring tabhi band hoti hai jab ap usme apna Pin inter karte hai.

Kaspersky mobile security :-

ye Popular application hai, yah apke phone me unwanted viruses ko rokne ke sath Phone block kar Save Message our Call ko Filter karta hai.

Lookout security and antivirus :-

Is Free application se bhi ap Lookout.com Login kar apne phone ki Location track kar sakte hai.

Trend Micro mobile security & antivirus :-

Trand Micro Mobile Security and Anti-Virus Application top Application ki ginti me ati hai. Is Application me privacy scanner evm parent controller ka Feature

Diya gaya hai. Yah apke phone ko Virus se protect bhi karta hai.

Plan B, Lookout mobile security :-

Is Applications se ap apna phone GPS se Connect kar yah sabse paas Tower Signal ko bata deta hai.

Location Off karne par bhi Google Hum Par Kaise Rakhta hai Najar

Facebook Messenger Par Live Location Share Kaise Kare?

Smartphone Users Location Tracking off Kaise Kare?

Without internet अपनी Location share कैसे करें

Phone Tap kaise karte hai, Apka Phone To Nahi Ho Raha Tap

Leave a Comment