Scientist Kaise Bane, ISRO Me Job Kaise Kare?

10th class pass karne ke bad ham sabhi ko apne Career ke bare me sochna Start kar dena chahiye, kyo ki yahi vo samay hota hai, jab ham apne Career ko right Direction me le jate hai. hame kis Field me career banana hai, isi samay hame decision lena hota hai.

yadi apko scientist banana hai, to ham apko batayenge ki aap scientist kaise ban sakte hai? scientist banne ke liye kya karna chahiye? scientist banne ke liye education kitni honi chahiye? scientist banne ke liye konsa subject lena padta hai?

Scientist Kaise Bane? (How to Become a Scientist)

yadi ap scientist banana chahte hai, to apko apne School time se hi scientist banne ke target par Focus karna hoga. Jab bhi ap apne Life me kuchh bada karne jate hai, to sabse pahle ham ek Target set karna hota hai, jiske kuchh Rules hame Follow karne hote hai. yadi ham sahi Target set kar uske Rules Follow karte hai, to koi bhi hame apne Target ko achieve karne se rok nahi sakta hai.

easy words me yadi samjhe to jab aap bina kisi Location selection ke ghar se nikalte hai, our bina kisi goal ke sirf chalet jate hai, to uska result kya hoga ap bhi jante hi hai. apka time waste, Money wasted our hamne jaha se Journey Start kit hi ham vahi par vapas aa jayenge.

Jab ham goal ko Fixed kar lete hai, to ham usi Target par chalet hai, jo hamne Target set kiya hai. yadi sahi tarah se ham apne Target ki taraf badte hai, to ek din ham apne Target ko achieved kar lete hai.

Scientist banne ke liye kya kare?

Successful scientist banane ke liye apme kai Quality ka hona jaruri hai. tabhi ap ek Successful scientist ban sakte hai. Successful scientist banane ke liye apme kai tarah ke Quality and ability hona bahut jaruri hai.

Lagan :-

Life me kisi bhi chij ko hasil karne ke liye apme apne Target ko Archive karne ki Lagan hona jaruri hai. yadi apnme apni Life me koi target set kiya hai, to apko apni taraf se every effort laga kar us target ko Archive karne ka Effort lagana chahiyem, Tabhi ap apne target ko Archive kar payenge.

Successful scientist banane ke liye apko ek Strong target set karna hoga, our us Strong target ko hasil karne ka pryas lagatar karna hoga. Apme apne target ko hasil karne ki lagan hona jaruri hai, tabhi ap apne life ke target ko pura kar sakte hai.

science me Interest (Interest in science) :-

School life se hi science me Interest lene vale Student ka Target scientist banane ka hi hota hai. yadi apko bhi scientist banana hai, to apko apni School life se hi science me Interest dikhana hoga. Jo Student apni life me asman ki bulandiyon ko hasil karna chahte hai, vah scientist ban apne Dreams ko pura kar sakte hai.

Practical knowledge :-

Book knowledge ke sath Successful scientist ko Practical knowledge ka hona bhi jaruri hota hai. jab bhi ham koi chij ko sikhte hai, to hame uska Experiment bhi jarur karna chahiye, taki hamara Practical knowledge Strong ho sake.

Scientist kya sochte hai :-

Find Reason :-

Jab apke samne kai tarah ke object hote hai, jese Machine tools yadi unme se apke samne ek fan hai, to apko pata lagana chahiye ki pankha kyu ghumta hai? pankha ghumne ka kya karan hai? jab aap iska pata lagate hai, to apko our bhi kai Information milti hai, jisme kuchh Information esi hoti hoti hai, jiske bare me kisi ko bhi pata nahi hota hai.

Scientist Language :-

Successful Scientist ko matrabhasha(First language) ke sath me Other language knowledge hona jaruri hai. jab apko Other language ka knowledge hota hai, to ap easily Another scientist information jan sakte hai. apko Other country technology ko janane me Problem nahi ayegi.

Read Research :-

Aap Successful Scientist banana chahte hai, to apko great scientists Ke Research end biography Read kare. Biography our Research ko Read karne se apko apne Target ko hasil karne me help hogi.

scientist banane ke liye Educational qualification (Eligibility to become Scientist)

Doctor banane ke liye jis tarah MBBS karna hota hai, Engineer ke liye BE Compulsory hai, lekin scientist banane ke liye Special courses Compulsory nahi hai. scientist banane ke liye apko 10th ke bad Chemistry,Physics, Biology, English end Maths subject se First step rakhna chahiye. these subjects me hi apko M.Phil, M.Sc, Ph.D, Engineering etc Higher Education Graduation and Post Graduation, Degree hasil karni hogi. Study ke sath Scientists posts par Form bhi bhar sakte hai.

scientist banne ke liye age kitni honi chahiye? (age limit to become a scientist)

Scientist and Engineer Posts par Recruitment hone ke liye General Category Candidates 35 years hoti hai, jabki SC / ST candidates five years relaxation hota hai. yadi aap other department me hai, to bhi aap scientist banne ke liye application de sakte hai.

scientist ki salary kitni hoti hai? (scientist salary)

scientist job A grade job category me aate hai. scientist ko apni job ke Starting se hi Good salary milti hai. unki salary time our experience ke anusar badti jati hai. scientist ko achhi salary ke sath bhatta bhi diya jata hai. scientist ki salary IMPORTANT nahi hai. scientist opportunity mayne rakhti hai.

ISRO me Job karne vale scientist ki salary shuruat me 25000 to 30000 rupees per month hoti hai, lekin jab scientist Post upgrade hoti hai, to scientist ki salary bhi upgrade hoti jati hai. ISRO me Job karne vale scientist ko badi posts par Lakhs rupees salary bhi milti hai.

ISRO me scientist kaise bane? (How to become a scientist in ISRO)

ISRO me scientist banne ke liye ap ke pas 3 tarike hai. jinhe Follow ka aap ISRO me scientist ban sakte hai.

First tarika :-

ISRO me scientist banne ke liye IIST yane Indian institute of space technology se Study karne vale student ko Directly ISRO Scientist Post par recruitment kar leti hai. Indian institute of space technology me Admission lene ke liye student ko joint entrance exam(JEE) deni hoti hai.

yadi apki JEE me Good rank ati hai, to apko IIST me Admission mil jata hai. Indian institute of space technology me Admission lene ke bad apko B.Tech karna hota hai. jiske bad ISRO me jo bhi Vacancy available hoti hai, vah apko de di jati hai.

Second tarika :-

Every Year ISRO Scientists Post ke liye Country ke Top college IIT and NIT me jate hai. yadi ap un Top college ke student ho to apko ISRO me job karne ka chance mil sakta hai. ISRO ke log apke college ate hai, our apka Interview lete hai. Interview clear hone par apko ISRO me Job mil jati hai.

third tarika :-

IIT, NIT end IIST ki Study nahi kar pane vale student ke pas bhi ISRO me jane ki opportunity hoti hai. ISRO every year ICRB exam karvata hai, ICRB se meaning isro central recruitment board se hai. yadi ap ISRO me job karna chahte hai, to apko ICRB exam clear karna hoga. Yadi ap isro central recruitment board exam clear kar lete hai, to apko ISRO me Engineer end Scientist position par job mil sakti hai. ICRB exam den eke liye apke pas qualification me MSc, B.tech and B.E degree hona Compulsory hota hai. yadi aap qualification me ye degree nahi hoti hai, to ap ICRB exam nahi de sakte hai.

Scientist Banne Ke liye Tips (Tips to become a scientist)

Successful scientist banane ke liye apme Special Quality ka hona bahut jaruri hai. yadi apme Special Quality hai, tabhi ap ek Successful scientist ban sakte hai. ab ham apko batayenge ki Successful scientist banane ke Tips kaun se hai.

– Yadi apko childhood se hi Science me interest hai, our Science related subjects interest jyada hai, to apke liye ye Ak better option ho sakta Science me interest lene vale sabhi Student ke liye scientist banana ek best option sabit ho sakta hai. yadi apko scientist banana hai, to apko Science our Science related subjects me Interest dikhana hoga, tabhi ap ek Successful scientist ban sakte hai.
– Successful scientist banane ke liye apko 10th ke bad Physics, Chemistry, Maths and Bio me post graduate ho kar sabhi subjects me Strong hona padega.
– Science practical knowledge increase karne ke liye ap Science camp me bhi ja sakte hai, taki apka Science Practical Knowledge Strong ho sake.
– First language(matrabhasha) ke sath apko Other language knowledge hona bhi jaruri hai. taki aap kisi bhi Country ke Technique end Technology ko easily samjgh sake. Yadi apko apni matrabhasha ke alava Other language knowledge nahi hoga to, apko Other countries ke scientist ke bare me janane me Problem ho sakti hai.
– Hamesha apne thinking capacity Increase kare. Sabhi chijo ke bare me jkanane ka Effort kare. Isase apki thinking capacity Increase hoti hai. thinking capacity Increase hone se apko bahut kuchh naya sikhne ko bhi milta hai.

Name of successful scientist

India ke Great Scientist Ke Name, jinhone science me Important Role nibhaya.

– C V Raman
– Jagdish Chandra Bose
– Homi J. Bhabha
– M Visvesvaraya
– Venkataraman Radhakrishnan

Brain MicroChip Kya hai, kaise Kare Use?

Kya Hai Google AI Platform? Kaise Karta Hai Kam

Data Science Coures Kya Hai Kaise Banaye Apna Best Career

Leave a Comment