tips for using social media sites Archives · https://www.hindiroot.com/tag/tips-for-using-social-media-sites/ Mon, 08 Mar 2021 14:17:19 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.5.3 https://www.hindiroot.com/wp-content/uploads/2019/06/cropped-fevicon-32x32.png tips for using social media sites Archives · https://www.hindiroot.com/tag/tips-for-using-social-media-sites/ 32 32 Social site ka Sahi Use kese kare? https://www.hindiroot.com/how-to-use-social-media-properly/ https://www.hindiroot.com/how-to-use-social-media-properly/#respond Fri, 05 Mar 2021 13:33:06 +0000 https://www.hindiroot.com/?p=14128 Ham log Twitter, Facebook, Instagram or Bhi kai tarah ki social websites ka upyog Karte Hain. Kai vyakti in social websites per aadhe ghante ka samay koi ek ghante to Koi do ghante ya FIR Kai log Aise bhi Hain Jo internet per social networking sites ka upyog Prati Din Karte Hain. Social networking sides ... Read more

The post Social site ka Sahi Use kese kare? appeared first on .

]]>
Ham log Twitter, Facebook, Instagram or Bhi kai tarah ki social websites ka upyog Karte Hain. Kai vyakti in social websites per aadhe ghante ka samay koi ek ghante to Koi do ghante ya FIR Kai log Aise bhi Hain Jo internet per social networking sites ka upyog Prati Din Karte Hain. Social networking sides ka upyog karte samay Hamen is Baat Ka Dhyan Rakhna Zaroori Hota Hai Ki Ham social sites ka Jyada istemal Karke inke Aadi Na Ho Jaaye.

Har Samay Instagram or Facebook site ko check Karte Hain aur Bina matlab Bar Bar screen ko refresh Karte Rahte Hain, shayd is Uddeshya se ki Kuchh naya notification Dikh Jaaye ya FIR Hamen Koi naya update Aane per uhnhe miss na ho jaye.

Koi nya Notification na mil pane se Ham Bechain Ho Jaate Hain, To Kahin na kahin Ham in social sites ke Aadi Ho Jaate Hain. Social networking websites ka Jyada istemal Karne Se Hamen kai Tarah Ke nuksan ho sakte hain inse hone wale dushparinam ka Hamen Samna karna pad sakta hai.

yadi aap in social websites ka upyog Karte Hain To Hamen is baat ki jankari Hona bahut jaruri hai ki Hamen social sites per Kitna Samay bitana chahie aur Kis Tarah Se uska upyog karna chahie. social sites ka istemal karne ke liye Hamen Ek planning karna chahie Jiske chalet Hame in websites ka use simit Samay ke liye karna chahie aur dusre kam Me bhi apna man Lagana chahiye.

Bahut Sare Aise Bhi Log hai jo Har Pal sirf mobile ko Hath Mein Lekar Baithe rehte hain aur Jaise hi mobile per naya notification ki tune Bajti hai vaise hi Ham use nodification ko Itni aturta se check karne lag Jaate Hain Jaise vah Hamare liye bahut hi jaruri hai.

Kai log iske itne Aadi Hote Hain Ki unhen sote Jagte Baithe Har Samay sirf UN websites ko scroll Karke dekhna hi achcha lagta hai. Halaki iska Koi matlab To Nahin nikalta sirf Hamara kimati Samay Barbad hota hai Ham ya nahi Kahate Hain ki Social media ka upyog nahin karna chahie in sites ka upyog Hamen simit Samay ke liye karna chahie jahan tak ho sake Hamen in notification per kam se kam Dhyan Dena chahie.social sites ka to istemal Sabhi karte hain lekin in sites ka Sahi istemal karna Babhu hi Jaruri Hota Hai.

Social Media ka Sahi istemal Karke aap apni life ko aur bhi Behtar banaa sakte hain jarurat Se Jyada Is Tarah Ki sites ka istemal Karna Hamari sehat per Bura Asar Dal sakte hain. Chaliye Jante Hain Kis Tarah aap social site ka Sahi istemal kar sakte hain.

Friends Selection :-

Internet per Aisi Kai website Hai Jahan per log nakali profile Banakar Internet surfing Karte Hain inmein Facebook,Twitter aur Instagram Jaisi websites Ka Naam Ki Shamil Hai. Kai vyakti apni profile mein nakali photo upload kar gender Badal kar apni profile ko create Karte Hain.

Aisa karne se Real aur fake friend ka Sahi chunav karne mein Kafi pareshani ka Samna karna padta hai. aisa karne se real friend aur family ke sath Rishton Mein Kafi Mushkil a Jaati Hai. Log aaj ke Samay Mein Apni problem ko face Nahin karte hain, balki Facebook Karte Hain user positive tarike se yadi social websites Ka upyog Kar Rahe hai, to waha sahi Hai Lekin yadi iski Lat Pad Jaaye To Ham apni real life se Kafi Dur Ho Jaate Hain aur ham Hamare Jivan mein aane wali Kai Tarah Ki Pareshaniyan ko face nahin kar paate Hain.

Time Ka Use :-

Jab vyakti yuvavastha Mein Hota Hai, to use energy ki Kami Nahin Hoti Hai vah yuvavastha Mein competition fight karne aur Samay aur Samarth ki Urja Ki Koi Kami Nahi Hoti Hai, Lekin aap social website per Jyada Samay Bita rahe hain, to aap apne andar ki Urja, Samay aur Samarth in teenon ko vest kar rahe hain.

Yadi aap in social networking sites se Kuchh Behtar Gyan le rahe hain ya FIR apne business ke promotion ke liye Facebook page bana rahe hain, to yah acchi baat hai lekin aap iska upyog bematlab kar rahe hain, to yah aapke liye ek time waster Se Badhkar aur Kuchh Bhi Nahin Hai. Aap Chahe to apni social networking website ko professional Rakh sakte hain Aisa karne se aapki skill set badhane Mein Kafi madad milegi.

Khushi Ka control :-

Yadi Ham atyadhik social networking website ka upyog Karte Hain, To Hamari Khushi is Baat per nirbhar karti hai ki Hamari tasvir ko kitne vyaktiyon Ne like Kiya aur kitne vyaktiyon Ne comment Kiya Hai. Kai bar aisa hota hai ki Ham social sites ki vajah se Kafi Udaas bhi ho Jaate Hain, To Kai bar Kafi Khush bhi ho Jaate Hain Jab Ham in website per apni koi nai tasvir upload karte hain aur use tasvir per yadi Koi majak Bana Deta Hai, To Ham Kafi dukhi ho Jaate Hain ya FIR Koi Hamari tasvir per Jyada like comment kar deta hai, To Ham Kafi khush ho Jaate Hain aapki Jankari ke liye Bata De Ki Aisa karna Kafi galat hai.

aap apni Khushi Ka control dusre ke Hathon Mein Na den. aap Aisa Karke Apne Sukh aur dukh ka pura control Kho Dete Hain Aur dusron Ko ye control de dete hain. aap dusron ke hisab se Hanste hain aur Rote Hain aapko Aisa bilkul bhi nahin karna chahie.

social networking site ka Kai Bar durupyog Ho Jata Hai, Kahin vyaktiyon ko Apne account per apni personal tasvir share karne ka bahut jyada Shauk Hota Hai. Vah Bhul Jaate Hain Ki Kai vyakti Hamari in personal tasviren ka galat use bhi kar lete hain. Kai bar Hamara account hack ho Jata Hai. Jiske bad Hamari tasviron ka galat tarike Se upyog Kiya Jata Hai Jahan Tak ho sake aapko Apne social account per Apne personal tasviron ko share Karne Se Bachana chahie.

Health Per Fffect :-

Kai vyakti Ese Hote Hain Jo internet par bahut jyada hi dikhte hain Mata Pita Ke Sath Sath unke bacche bhi internet par bahut jyada game khelte Hain. vah Ek Tarah Se internet per game khelne ke Aadi Ho Jaate Hain Kuchh vyakti online shopping par Adhyik Samay batate Hain, To Kuchh Twitter, Instagram aur Facebook per Notification ko check karne mein Apna Samay Barbad Karte Hain, vah vyakti Bhul Jaate Hain Ki Aisa karne se unke Dainik Jeevan aur unke Rishta per Bura Asar pad sakta hai. itna hi nahin Aisa karne se bacchon ki life per bhi bahut bura Asar Hota Hai.

internet ka atyadhik upyog karne se Hamen physical aur mental donon tarike se Pareshaniyo ka Samna karna pad sakta hai lagatar mobile par Social networking website ka upyog karne se Hame Aankhon Ki pareshani bhi ho sakti hai.

galat position Mein adhik samay tak baithane ki vajah se Hamen Spondylitis Jaisi Gambhir Bimari ho sakti hai ya FIR Ham depression Main Bhi Jaane ka Khatra bana rahata hai isliye social media per atyadhik Samay bitane Wale vyaktiyon Ko Is Tarah ki website per Guzare Jane Wale Samay ko simit rakhne ke liye Kaha jata hai.

Social Media Platform Par Business Marketing Kaise Kare?

Apna Business kaise Badhaye?

M-Learning Shiksha kya Hai, Mobile learning kaise sikhe?

Brain power kaise badhaye?

Competition Mein Product Rate Ke Sath Samjhauta Na Kare

Handicraft Our Handloom Business ki Shuruaat Kaise Kare?

The post Social site ka Sahi Use kese kare? appeared first on .

]]>
https://www.hindiroot.com/how-to-use-social-media-properly/feed/ 0