LED Bulb Business Start kaise kare?

Hamare desh me LED Bulb ki Demand teji se badti ja rahi hai, is sthiti me yadi ap apna business Start karna chahte hai, to apke liye LED Bulb Business sabse Beneficial Business sabit ho sakta hai, lekin LED Bulb Business Start karne se pahle uski Training sabse important hoti hai. yadi apko bhi apna LED Bulb Business Start karna hai, to Government apko LED Bulbs Business and Tube Lights Business ke bare me Detail me training degi.

Ministry of Micro, Small and Medium Enterprises ke under kam kar rahi Institute for Design of Electrical Measuring Instrument (IDEMI) dvara 3 day ka Course karaya ja raha hai, jisame apko LED Bulbs Business and Tube Lights Business ke bare me Detail me training di jayegi.

LED ka pura name kya hai? (Full Name of LED)

LED ka pura Name Light emitting diode hai. LED ke Electronic Components se electricity ki Saving hoti hai, jis vajah se Indian governmentne desh me LED ko Promot kar rahi hai. kuchh samay pahle government ne desh me Domestic Efficient Lighting Program (DEPL) launch kiya tha. Ab government ne iska name change kar Ujala kar diya hai.

ab har koi isko desh me Follow kar raha hai, our ye scheme kafi Successful bhi rahi hai. desh me Ujala scheme Successful hone ke bad ab LED Bulb Business ke Chances badte ja rahe hai. LED Bulb Business ko koi bhi badi easily tarike se kam paiso me Start kar sakta hai.

Ham apko batayenge Basic of LED, Basic of PCB, LED Driver, Basic of Soldering, Types of Components, Component Fittings, Testing, Testing of Illumination, Purchase of Materials, Sources of Marketing, Marketing, Packing & Packing Materials, Government Subsidy Scheme, LED Bulbs & Tube light Practice ke bare me aap janenge.

LED Bulb Business kya hai? (What is a LED Bulb Business)

Jab bhi ham koi new Business Start karte hai, to hame sabse pahle us Business ke bare me puri Information Collect karni hoti hai. Business chahe LED Bulb ka ho ya fir koi dusra hame apne Business ko Start karne se pahle uske Profit and loss se lekar hare k chij ke bare me Details me Information Collect karna hoti hai, taki Business Start karne ke bad hame kisi bhi chij ki Problem ka samna nahi karna pade.

Baat karte hai LED Bulb Business ki to, ye koi Difficult Business nahi hai, apko LED Bulb Business Start karne ke liye kuchh khash karne ki jaruran nahi hoti hai, apko sirf Raw Material kharidne ke bad use Assemble kar bech dena hai. LED Bulb Business ke liye Raw Material kafi sasta mil jata hai. apko ye safi easily tarike se mil jata hai. apko LED Bulb me kafi Profit hota hai, kyo ki Market me LED Bulb ki kafi Demand hai.

LED Bulb Business me kitne paise lagte hai?

LED Bulb making Business start karne me kitna paisa lagta hai? ye Question har kisi ke liye janna bahut jaruri hai. ye ap par bhi Dependent rahta hai, ki aap kis Scale par business karna chahte hai. agar ap kam paiso me apna Business start karna chahte hai, to apko Minimum 15000 se 20000 rupees kharch karne honge. Itne paiso se aap karib 1000 LED Bulb ka Raw Material kharid sakte hai. apko 9 watts per 1 LED bulb ka Raw Material Minimum 10 rupye per piece ya 15 rupye per piece me mil jata hai.

Apko iske liye dusre equipment bhi kharidne honge, jese Solder,taka lagan eke liye Digital meter current check karne ke liye jo apko 1000 rupees me mil jata hai. sabhi Expenses ko milakar aap Minimum 15000 se 20000 rupees me apna LED Bulb Business ko Start kar sakte hai. aap is Business me Every month 30 thousand rupees profit kama sakte hai.

LED Bulb Market me kaise beche? (LED Bulb sell in market)

LED Bulb ko aap Market me 2 tariko se bech sakte hai.

– Market me shop rent par le kar
– Market me Electric ki shop se Contact karke.

LED Bulb banakar Market me ham apni shop rent par le kar LED Bulb ko bech sakte hai, lekin iske liye apko apni shop ka rent bhi dena hoga.yadi ap ye expenses nahi karna chahte hai, to aap Market me shopkeepers se Contact karke apne LED Bulb ko kuchh kam rate par bhi Supply kar sakte hai.

Shopkeepers ko aap LED bulbs per piece ke hisab se bech sakte hai. aap apne area ke markets me Electric shop valo se bat kar apne sabhi LED bulbs ko bech sakte hai. esa karne se ap jyada Profit kama sakte hai, kyo ki yadi ap apni shop rent par le kar LED Bulb ko bechte hai, to aap Limited LED bulbs hi bech payenge, lekin jab aap Market me LED Bulb Supply karte hai, to ap Every month jyada Profit kama sakte hai. esa karke aap Every month 20 thousand se 30 thousand rupye tak kama sakte hai.

LED bulb banane ke liye kaccha mal (Raw material) kaha se kharide? (LED bulb Raw material)

LED bulb banane ke liye kaccha mal (Raw material) kharidne ki complete information apko www.IndiaMart.Com par mil jayegi. IndiaMart.Com kafi Reliable company hai. isme millions Industrial Material, Raw Material Supply karne valo ki complete information hai.

Apko www.indiamart.com par Search karna hoga, LED Bulb Raw Material jiske bad apko All supplier ke Contact number, address, price -rate information easily mil jayegi.

LED Bulb Business me kitna Profit hota hai? (Profit of LED Bulb Business)

Jab aap 15000 se 20000 rupees laga kar LED Bulb Business Start karte hai, to apko is Business me Every month 20,000 se 30,000 rupye tak kama sakte hai, lekin apko har bar 1000 bulbs bechne ke bad fir se kaccha mal (Raw material) kharidna hoga.

LED Bulb per unit Cost kitna hota hai? (LED Bulb per unit Cost)

Yadi ap Rs 12 per unit ke Rate se 9 Watt LED Bulb ka kaccha mal (Raw material) kharidte hai, to apko ise taiyar karne our Market me le jane tak 15 Rs per unit cost ka kharch ata hai. Market me LED Bulb 35 se 40 rupye me milte hai, isliye ap ise Market me Shopkeeper ko 25 se 30 rupye me bech sakte hai. Shopkeeper bhi apse easily 25 se 30 rupye me LED Bulb khrid lega, kyo ki use bhi per unit par 5 se 10 rupye ka Profit hota hai.

Starting me aap apne LED Bulb ka per unit Cost kam rakhe hai, to har koi apse LED Bulb kharid lega. Starting me apko ho sakta hai kam Profit hoga, lekin jab apse jyada Shopkeeper LED Bulb kharidenge to, apko jyada Profit hoga. bad me jab LED Bulb ki Demand bad jayegi, to ap apne LED Bulb ka rate bhi bada sakte hai.

LED Bulb ka Profit calculation kaise kare? (LED Bulb Profit calculation)

– Jab aap per day Minimum 100 LED Bulbs Rs 25 per piece ke hisab se Supply karte hai, to 1 Pic par apko 10 rupye ka Profit hoga, yane 100 * 10 = 1000 is tarah apko 1 day ka profit 1000 hoga. 1 month profit 1000 * 30 = Rs 30000 ka hoga.
– Jab aap per day Minimum 200 LED Bulb 25 per piece ke hisab se Supply karte hai, to apko 10 rupye ka Profit ke hisab se 200*10 = 2000 hoga. 1 day profit = 2000 ke anusar 1 month profit 2000 * 30 = 60000 Rs hoga.
– per day Minimum 500 LED bulbs Rs 25 per piece se Supply karte hai, to 1 Pic par 10 rupye Profit ke hisab se 500*10 = 5000 per day Profit apko hoga. 1 month profit 5000 * 30 = 150000 Rs ka hoga. aap apna Business jitne bade Scale par karenge, apko Profit utna hi jyada hoga.

LED Bulb business ke liye Places kaisa hona chahiye? (places a LED Bulb Business)

LED Bulb business kai tarah se kiya ja sakta hai. aap LED Bulb business ki Training le kar bhi kafi Profit kama sakte hai. apko iske liye sabse pahle ese Places ya dukan ka Selection karna hoga, jaha se ap rent ke paise bacha sakte hai. aap vaha par Required Furnishing karva kar apne LED Bulb bechne ka business Start kar sakte hai.

Minimum Cost par LED Bulb business kaise Start kare? (How to Start a Led Bulb Business at Minimum Cost)

Is business me aap Minimum paise lagakar kafi Profit kama sakte hai. aap is business se per month 20,000 se 300,000 rupye ka profit bhi kama sakte hai. sabhi ke liye ye business Profit vala hai. koi bhi is business ko Start kar per month kafi profit kama sakta hai.

LED Bulb ka business Supplier ke rup me kare? (LED Bulb business as a supplier)

Yadi aap LED Bulb ka business me sirf shop tak simit nahi rahna chahte hai, to apke pas Supplier banane ka bhi Option hota hai. aap LED Bulb ka business karte huye Supplier ka kaam karte huye kafi Profit kama sakte hai. Supplier banane ke liye apko Retail se jyada paiso ka Investment karna hoga.apko isme Godown ke sath Big stores ko bhi Rent par lene ki jarurat hogi.

Jab ap Location ka arrangement kar lete hai, to apko Light assembled merchant Karne vale manufacturers companies se Contact karna hoga. apse Retailer LED Bulb lenge isliye apko Supplier ki tarah apne paas Different types ke LED lights ko rakhna hoga, taki ap Retail demand ke anusar LED Bulb unhe de sake. Apko ek Supplier ke rup me kaam karne ke liye Secure transport system ki bhi requirement hogi.

Assembly unit installed karke LED Bulb business kaise kare? (Assembly unit installed LED Bulb business)

Aap Assembly unit installed karke LED Bulb business se paise kama sakte hai. Assembly unit installed karne ke liye aap Government se loan bhi le sakte hai. pradhanmantri rojgar yojana ke andar aap ye loan le sakte hai. Assembly unit installed karne ke liye apko kai chijo ki jarurat hoti hai, jese :-

– Machinery
– Raw material

Machinery :-

LED assembling unit ke liye apko Machinery ki jarurat bhi hoti hai jese

– Component Forming: Price: Rs 85,000
– Soldering Machine: Price: Rs 300
– Digital Multimeter: Price: Rs 551
– Tester: Price: Rs 565
– Sealing Machine: Price: Rs 1350
– LCR Meter: Price: Rs 2400
– Small Drilling Machine: Price: Rs 1800
– Lux Meter: Price: Rs 1200

Raw material :-

LED assembling unit ke liye apko Raw material ki jarurat bhi hoti hai jese

– LED Chips: Price: Rs 1200
– Rectifier Machine: Price: Rs 9 / per unit
– Heat sink device: Price: Rs 400
– Metallic cap holder
– Plastic body: Price: Rs 50 per unit
– Reflector Plastic Glass: Price: Rs 3 per unit
– Connecting wire: Price: Rs 480
– Soldering Flux: Price: Rs 80

Aap in sabhi materials ko Online in website se kharid sakte hai.

LED Bulb Business Raw material Online in website
– https://dir.indiamart.com
– http://www.amazon.in
– https://www.snapdeal.com

Component bana kar LED Bulb business kaise kare?

LED demand badne se kai companyo ne LED Bulb banana Start kar diya hai. ap kam paiso me Lamp Component Business ko Start kar sakte hai. apko pahle ek Workshop ready karna hoga, jisake liye apko MSME se Government of India se apni Workshop ka Registration karvana hoga. jab aap Workshop ka Registration karva lete hai, to apko Government se loan bhi mil jata hai.

LED Bulb business Start karne ke liye Government se training kaise le? (Government se training of LED Bulb business)

Indian government desh me LED Bulb business ko Start karne ke liye apko kai tarah ki Training deti hai. apko ye Training Skill development scheme our MSME Ministry ki taraf se diya jata hai. skill development scheme ke Under Nisbad and Khadi Village Industries Commission ki taraf se Training program chalaye jate hai. training ke Under training lene vale sabhi logo ko LED related All information di jati hai. jyada Information ke liye ap in link par Visit kar sakte hai.

– http://niesbud.nic.in/training.htm
– http://msme.gov.in/

kya LED Recycle ho sakta hai? (LED Bulb Recycle Process)

LED Bulb ko Recycle kiya ja sakta hai. LED Bulb me CFL Bulb ki mercury (para) nahi hota hai, lekin LED Bulb me lead and Nickel jese components hote hai.

Power ki kam khapat :-

LED Bulb CFL Bulb se kam Bijali khapat karta hai. CFL Bulb me 1 years me 80% energy lagat hoti hai. LED Bulb CFL Bulb ke mukable jyada mahnga hota hai.

Jyada life :-

LED Bulb ki life 50000 hours ya usase jyada ho sakti hai, jabki CFL Bulb ki life 8000 hours ki hoti hai. LED Bulb CFL Bulb kit ulna me jyada samay tak chalta hai.

LED Bulb ki Training kaha se le? (LED Bulb Training in hindi)

Delhi ke Paschim Vihar Bharti Vidyapeeth Deemed University LED Bulb banane ka Course karvati hai. is Course ki cost apko 5000 rupees lagenge. Apko yaha par LED Bulb banane ke bare me har bariki ke bare me sikhaya jayega.

Business me tools ka use kaise kare?

Retail cloth Business kaise kare?

Nail Salon Business Kaise Start Kare?

Apna Business kaise Badhaye?

Leave a Comment