Mobile Banking Security Tips in Hindi :- Online Payment Kaise Kare?

Prime Minister of India Narendra Modi ne jab se Notebandi ki hai tabhi se Digital payment ka chalan kafi bad gaya hai, har koi Bank ki lambi-lambi line me na lagte huye apne ghar se hi Mobile app se payment karte hai. ap bhi Mobile app se payment jarur karte honge, kyo ki Smartphone online payment karna kafi Easy process hai, jise har koi easily kar leta hai.

online payment karne vale sabhi users ko is bat ki bhi Tension hoti hai ki jis online root se payment kar rahe hai vah Safe data source hai ya nahi. Kai bar Technology flaws ki vajah se apke dvara kiya gaya Transfer nahi ho pata hai.

kai bar hmare dvara kiye gaye money transfer me bhi kai tarah ki problem Create ho jati hai. jisse users kafi pareshani me aa jate hai. lekin apko Tension lene ki jarurat nahi hai, kyo ki aaj ham aapko batayenge, online money transfer kaise kare ? online payment kaise kare ? Online Payments Security Tips, Online Transaction Safety Tips? ke bare me batayenge.

online money transfer kya hai? (What is online money transfer)

kuchh samay pahle tak kisi ko is bat ka ehsas bhi nahi tha ki vah Bank ki lambi Line se chhutkara pa sakta hai. jab bhi use Bank se money Withdraw ya Deposit money karna hoti thi to vah bank me hi jata tha, lekin ab esa nahi hai.

apko yasi kisi ko money transfer karna hoti hai to ap ghar bethe app se Online money transfer kar sakte hai, our is process me apko jyada samay bhi nahi lagta hai our ap easily Mobile se kahi bhi money transfer kar sakte hai. jab ham desh ke kisi bhi kone me kisi ko Mobile app ka use kar money transfer karte hai, to use hi online money transfer kaha jata hai.

jab users Online money transfer karte hai, to unhe is bat ka dar bhi hota hai ki kahi unki Information Lick na ho jaye , kyo ki kai bar hamne is tarah ki news suni hoti hai, jaha Online money transfer ke bad hamar bank Account khali ho jata hai. aaj ham apko Online Payments Security ke bare me batayenge jiske bad apko Online Payments Security ki Tension nahi hogi.

Online Payments Security Tips in hindi :-

– Do not use public Wi-Fi

Kai users public Wi-Fi ka use jyada karte hai. lekin dhyan rahe kai jab ap public Wi-Fi ka use karte hai, to vaha se kabhi bhi Online Payments Transfer process nai karni chahiye, kyo ki public Wi-Fi Secure nahi hota hai, vaha se apki Information Lick hone ke jyada Chance hote hai.

users ko kabhi bhi public Wi-Fi ka use karte samay bank account number, Credit card information end PIN number etc jesi personal work nahi karna chahiye. Yaha se apka Data leak ho sakta hai. kai public Wi-Fi ke Wifi route ka apko pata nahi hota hai ki ye Safe Data Source hai ya nahi. Jab users public Wi-Fi ka use kar Online money transfer process karta hai, to Hackers Password end Pin Hack kar sakte hai.

– High strong password

Financial transaction ke liye users apne Mobile ka use karte hai to, unhe apne Mobile ka password/ Patton High strong rakha na chahiye, taki koi bhi easily apke Mobile ka password/ Patton lock ko Hack na kar sake.

High strong password kaise banaye? (How to create a high strong password)

Users jab bhi password Create karta hai, to unhe is bat ka dhyan rakhna chahiye ki ab bhi aap koi password bana rajhe hai to usme kabhi bhi Date of birth, mobile number, flat number, children names, street / road name ko password me add nahi karna chahiye. Is tarah ki Information hack karna Hackers ke liye bahut asan hota hai. users apne password ko Facial recognition, finger print unlock se bhi Secure kar sakte hai.

– Unauthorized app 

Users jab bhi kisi app ko apne Mobile me download karta hai usase pahle is bat ki unhe Confirmation hona jaruri hai ki, jis app ko aap apne Mobile me download kar rahe hai vah apke liye kitna Secure hai.

users apne Mobile me download Unauthorize or fake apps ko download kar uska use karte hai to, apke pas send kiya gaya One time password ka miss use kiya ja sakta hai. our apse pahle hi koi dusra vykti apka Bank account khali kar lega, isliye users is bat ka Special dhyan rakhe ki apne jo app download kiya hai vah sahi hai ya Fake app hai. us app ki Reliability check karne ke bad hi use ap download kare.

– Trusted app

Jab bhi users apne Trusted app se Payment Information Share karte hai, to vah apne Mobile me Download kiye huye un apps se careful rahe, jo Spyware ho sakte hai.is tarah ke aap payment information Capture karne ke liye hi Design kiye jate hai. yah Hackers dvara kiya jata hai, our vah iska pura Profit lete hai.isliye is tarah ke app se users ko savdhan rahna chahiye.

– Use secure payment app

Users yadi apne smartphone Mobile par Payment information ko add karna chahta hai, to vah Only apne smartphone me available Apple Pay or Android Pay ka hi use kare. Apke smartphone available software guarantees reliability ke hote hai, sath hi Official Mobile Payment App Companies kabhi bhi apne users ke Credit card statement stored karke nahi rakhti hai.

– Use only one payment app

Kai users apne Mobile me kai Payment app download kar rakhte hai. lekin ap esi galti kabhi na kare. Users ko apne Mobile me me Only ek hi Payment app ko download kar uska use karna chahiye, sath hi vah app Safe and reliable hona jaruri hai. jab users kai app ka use karta hai to, unka Data leak hone ki sambhavna bahut bad jati hai.

– Download from official app store

Mobile payment app download karne ke liye users ko hamesha official app store ka hi use karna chahiye. official app store me Apple Play Store, google Play Store and Windows Store sabse jyada Famous official app store hai, users yaha se apne sabhi app ko Download kar sakte hai.

phone chori ho jaye to kya kare?

bhagvan na kare lekin kabhi apka phone chori ho jaye to, sabse pahle police station me FIR darj karaye our bad me apne Bank ko informed karte huye apni e-banking ko block karvaye, taki koi bhi apke Mobile se galat jagah payment Transfer na kare.

– mobile payment me Use kare credit card

Credit card se jyada debit card me Fraud hone ka khatara jyada hota hai.users jab bhi mobile se Pay kare to, credit card ka hi use kare. Kyo ki ye sabse jyada Secure mana jata hai.

– credit card account Security

credit card users apne Account Transaction Check karte rahe, kyo ki kai bar apke Account Transaction me kuchh esi chije ho jati hai, jinke bare me apko pata bhi nahi hota hai.isliye samay-samay par ap credit card apne Account Transaction Check karte rahe, taki apko Future me kisi tarah ki koi pareshani nahi ho. Yadi apko Account Transaction me kuchh esi chije dikh rahi hai jo sahi nahi hai, our apki jankari ke bahar hai to ap apna password Change kar de.

UPI Payment kya hai, UPI Payment me Fraud se kaise bache?

Web Browsing And E-Payment Secure Kaise Kare

Online Payment Kya Hai ? Janiye Mobile Banking Security Tips

Paytm Payments Bank शुरू, जानें आपको क्या होगा इससे फायदा

Aadhar Card Se Loan Kaise Le, Loan ke liye online Apply kaise kare?

Leave a Comment