Gmail account safe Archives · https://www.hindiroot.com/tag/gmail-account-safe/ Thu, 01 Apr 2021 12:01:23 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://www.hindiroot.com/wp-content/uploads/2019/06/cropped-fevicon-32x32.png Gmail account safe Archives · https://www.hindiroot.com/tag/gmail-account-safe/ 32 32 Gmail security tips :- Gmail account safe kaise rakhe? https://www.hindiroot.com/how-to-secure-your-gmail-account-in-hindi/ https://www.hindiroot.com/how-to-secure-your-gmail-account-in-hindi/#respond Thu, 01 Apr 2021 12:01:23 +0000 https://www.hindiroot.com/?p=14496 Digital World me har koi Fast ho gaya hai. pahle ke samay me jis kam ko karne me kafi samay lagta tha vah kam aaj ke smay me ham ghar bethe badi asani se Internet use kar lete hai. Lekin har bar Internet ka use hamare liye Safe nahi hota hai. Internet par Kai kam ... Read more

The post Gmail security tips :- Gmail account safe kaise rakhe? appeared first on .

]]>
Digital World me har koi Fast ho gaya hai. pahle ke samay me jis kam ko karne me kafi samay lagta tha vah kam aaj ke smay me ham ghar bethe badi asani se Internet use kar lete hai. Lekin har bar Internet ka use hamare liye Safe nahi hota hai. Internet par Kai kam karte huye hame apni Personal email id dena hota hai.

Har kahi Personal E-mail id ka use hone ke bad bhi ham uski Security par dhyan nahi dete hai. Ap is bat se anjan hote hai ki Hackers ka pura dhyan apki E-mail id par hi hota hai. Apki ek chhoti si galti Hackers ka kam asan kar sakte hai. Hackers apki E-mail id ko Hack kar lete hai to apko bhari nuksan uthana padta hai. Aaj ham apko E-mail id ko safe kaise kare?

Android phone me E-mail ID secure kaise kare? (How to secure e-mail ID in Android phone)

Android users jab bhi koi apps ko download karte hai to unke liye sabse safe Google Play Store hai, jaha se users apne anusar koi bhi apps ko download kar uska use kar sakta hai. Google Play Store ko apko download karne ki jarurat nahi hoti hai yah har ak Device me ata hai.

Google users ko advice deta hai ki vah apne Android Device ko High protection security ke sath Lock kar rakhe. Yadi apka phone kahi ghum ya chori ho jata hai to fir bhi apko apne Personal data ke chori hone ka khatra nahi hota hai. User ko kabhi bhi apne Device ko safe rakhne ke liye Biometric ke bharose nahi rahna chahiye.

Third party app :-

Adhikansh Third party apps users se storage access ke sath contacts, camera location, microphone ko access karne ki Permission mangte hai. Halaki esa jaruri nai hai hai in apps ko ap Access hi de. Android users apne Device ki Settings me Apps & Notifications par Click kar Advanced se App Permissions par Access review kar sakte hai.

E-mail Account Ko Safe Kaise Rakhe? (How to safe your email account)

Users ke liye apna Account Safe rakhna bahut asan hai kyo ki apke E-mail Account se Docs,Drive our Gmail Service connect hoti hai. Google account security check karne ke liye user Google account me run security check option par click kar jankari hasil kar sakta hai.

Mobile par E-mail account safe kaise rakhe (How to safe email account on mobile)

– Users apne smartphone me menu icon par Click kare.
– Settings me jaye.
– Click on email id.
– Manage Your Google Account par Tap kare.
– Run security check option Select kare.
– Yaha apko Accounts Secure karne ke liye 2 Step Verification ko On

Rakhna chahiye.

Strong password user jab bhi apna new E-mail id banate hai to unhe apna password banate smay is bat ka dhyan rakhna chahiye ki apka password Strong ho, apne password me special word, Capital letter our numerical number ko add kare. Sath hi password banate samay Security Question and Answer Strong rakhna chahiye. Samay-samay par apna password badlte rahna chahiye.

Update Mobile number :-

jab bhi user apna password badle to use apne gmail par jarur update kare. Security ke tor par yadi koi apke gmail ko Login karta hai to apke pas Security Alert Messages pahuh jata hai our ap usi samy apna password badal kar apne gmail ko Secure kar sakte hai.

Ignore Unknown mail :-

Kai bar user ke pas kisi Unknown id se mail ata hai jisme vah aapki jankari ko mangte hai. Kai users un par apni Personal information Submit kar dete hai. Lekin apko ese mail par dhyan nahi dena chhiye is tarah ke mail ko Spam mark ya block option better rahta hai.

Do not share email account information :-

Kai bar4 user apne Email ya message ki jankari ko share kar dete hai, lekin unhe ye kabhi bhi nahi karna chahiye.

Private browsing :-

Kuchh Rule Follow kar ap Private browsing se apne gmail ya E-mail ko Safe rakh sakte hai. Jab bhi apko jarurat ho to ap Private browsing me hi gmail ko open kare, kabhi bhi Unknown pc ya library, Cybercafe, friend PC ya dusre ke mobile par mail open nahi karna chahiye. Jarurat ho to Private browsing ka hi use kare kyo ki Private browsing me Uzing History Save nahi hoti hai. Our apke account ke Hack hone ka khatra nahi hota hai.

Open wifi :-

Private government jagaho par wifi hota hi hai. Yah wifi open hote hai. Jis vajah se ise koi bhu use karta hai, lekin ye apki Security ke liye kafi khatrnak hai. Hackers isse computer and mobile me Virus bhejte hai. Jo apke mail id ke Hack hone ka karan banta hai.

Hack Kaise Karte Hai :-

smartphone ke File system ke Loop hole ke bare me jankar hacker Contact and message ko access karte hai. Cyber Criminal Account Password Crack kar apka Account Login karte hai. Pur apki sari jankari ko hasil kar lete hai. User yadi apne Account Password ko Normal rakhta hai to hacker ko jyada pareshani nahi hoti hai apke Account ko Hack karne me.

Cyber Criminals ne new trick se vah user ko asani se apne jal me fasa lete hai. User ko apne jaal me fasane ke liye vah ek fake gmail page Create kartte hai, jo dekhne par fake nahi lagta hai. User kai bar Fake page URL check nahi karte hai our apni information ke sath account ki information Enter kar dete hai.

Apko is bat ki jankari bhi nahi hogi our apki sabhi information Hackers ke pas pahuch jayegi. Hackers Text end whatsapp message ke dvara keylogger malware send karte hai, yadi user is app ko Download or install karte hai to, ye App keyboard par press ki jane vali koi bhi button record hone lagegi.

Jiske bad Hackers ke liye apke account ko Login karna asan ho jata hai. Halaki user savdhani rakhe to vah apne account ko Hackers se Secure kar sakta hai. Chhoti-chhoti bato ka dhyan rakh kar ham apne Gmail account ya E-mail account ko Secure kar hone vale nuksan se bach sakte hai.

Gmail app par Email Schedule Kaise Kare?

Gmail Se Delete Mail Recover Kaise Kare

Mobile Number Ke Bina Gmail Id Kaise Banaye?

Gmail Smart Compose Aur Gmail Smart Reply Kya Hai

The post Gmail security tips :- Gmail account safe kaise rakhe? appeared first on .

]]>
https://www.hindiroot.com/how-to-secure-your-gmail-account-in-hindi/feed/ 0