Office Me Rakhe In Bato Ka Dhyan?

Yar kal fir Office jana hai? Sunday ke bad ye Monday kyo aa gaya? kuchh ese hi Question ham sabhi ke man me bhi chalet hai. Office yane Tension vali jaha par pure din kam and Target ka pressure bana rahta hai. ese me khud ko pure din energetic rakhna bahut Tough ho jata hai.

Office ka pressure hone ki bvajah se kai log to apne Family members par hi Angry ho jate hai. kai logo ka Performance bhi kharab ho jata hai.yadi kisi tarah ham Office ka kam kar bhi lete hai, to Office ka friction ghar par hi niklata hai. ese me har kisi ke man me ek saval ata hai, ki

Office me energetic kaise rahe?

Office me khush kaise rahe?

Energetic bane rahne ke liye kaisa khana khaye?

Positive feel kaise kare?

In sabhi savalo ko soch kar yadi ap upset ho rahe hai, to apko Tension lene ki koi jarurat nahi hai.aaj ham apko kuchh esi Easy tips batayenge, jiske bad ap pure din Energetic and refreshing Feel karenge.

Meditation jaruri hai

Office ek esi jagah hai jaha par ap pure din ka sabse jyada time bitate hai. Office me kaam ka Pressure itna jyada hota hai ki apko kisi se bhi bat karne ki fursart nahi milti hai. esi Condition me har kisi ko gussa aana lajmi hai, lekin aap in sab chijo se bachne ke liye meditation ka use kar sakte hai.

Modern time me bhi meditation ko kai variations ke sath use kiya jata hai. meditation ka use karne se sabhi ka Construction power high hota hai. esa karne se hame apne andar ki khushi ka ehsas hota hai. sabhi ko Daily morning me 5 se 10 minutes tak meditation (dhyan) jarur karna chahiye. Starting me sirf Eyes closed kar bina kuchh soche hame bethna chahiye.bad me aap iska time bhi bada sakte hai. Regular esa karne se aap Office me Energetic mahsus karenge.

Music hai Best Therapy

Science ne bhi is bat ko mana hai, ki Music Healing ka kam karta hai. isliye jab bhi ap Office jaye to raste me ya jab bhi time mile to apko Music sunana chahiye. Music sunane se Mind relux hota hai. morning me aap Music sun kar hectic se khud ko bacha sakte hai. yadi ap Music sunte hai, to apki Tension bhi kam hoti hai. jab ap apni Favorite Tune ya song sunte hai, to Mind me Dopamine namak chemical release hota hai, jo hame khushi ka ehsas deta hai.

Friendly kare kam

Office me Tension ka karan apki dusro se sahi bonding na hona bhi hota hai. isliye Office jate samay apko Office jate samay Loneliness, boring and depression jesa mahsus hota hai. koshish kare ki aap apne Collegs ke sath mil jul kar kam kare. Esa kakrne se ap apni Problem unke sath share kar sakte hai. esa karne se aap Relax Feel karne lagenge. Hasi majak karne se bhi hamara Mood light rahta hai. ap esa karke pahle se achcha kam kar sakenge. Yadi apki bonding unse achchi nahi hai, to ap pura samay unke bare me Negative bate sochne me hi bita dete hai.

Negative me dekhe positive :-

Office me sabhi par kaam ka jyada Pressure rahta hai, ese me apke boos our sath me kam karne vale bhi apki najro me Negative ban jate hai. apse koi kaam sahi nahi hota hai, ya fir apke Seniors ka mood off rahta hai, to vo apko dat bhi sakte hai. esi situation me har koi kafi pareshan ho jata hai. kuch log to iske bad apne kam me man nahi lagate hai, to kai apne boos ko kosane lag jate hai.

Problems se bhagna kisi bhi chij ka Solution nahi hota hai. yadi ap Negative bato me bhi kuchh positive chije talash lete hai, to aap pahle kit ulna our bhi ache se kam kar sakenge. Yadi apke boos apko kisi bat par datate hai, to aap unki bat ka bura na mante huye apni galti se kuchh sikhte huye, esa kam kariye ki apke boos ko bhi ap par gussa na aye. Esa karne se apki Skills behtar hoti hai.

Office ki Tension se khud ko Fresh kaise rakhe?

– Office ki Tension our din bhar ki BhagDod me khud ko Energetic rakhne ke liye ap chahe to Running our cycling bhi kar sakte hai. esa karne se apka stamina bhi badega our ap khud ko Fresh mahsus karenge.

– Kam ke Tension se bachne ke liye ap Dance class join kar sakte hai. esa karna apke liye ek behtar option sabit ho sakta hai. Dance class join karne se apki Body active rahegi, our apka kam ke liye Focus badta hai.

– Mind work karne ke liye apka Physically fit hota bahut jaruri hai. Exercise and yoga ko ap apni life me Daily routine me laye.

– Office me khud ko Fresh rakhne ke liye Mind ko sahi rakhna bahut jaruri hota hai. lekin kai log apni Personal problem ko apne Work place ke bich le ate hai. esa karne se hamar kam kafi prbhavit ho jata hai. Personal and professional life mix nahi karna chahiye.

– Jab bhi ham koi achcha kam karte hai, to har koi hamari tariff hi karte hai. lekin aaj ke samay me Market me competition itna jyada bad gaya hai, ki khud ko Multi tasking banana chahiye. Esa karne se ap dusro par bhari padege.

Kam ki list banaye :-

Sabse pahle apko apne kam ki ek list banana chahiye. Jo kam sabse jyada jaruri hai us kam ko apko pahle karna chhaiye. Apni jarurat ke anusart yadi aap kam karte hai, to apka kam our bhi easy ho jata hai.

E-mail :-

E-mail ek esa am hai, jise Manage karne me apko sabse jyada samay lagta hai. isliye kam ke bich thoda samay nikal ka rap apne mail ke javab de sakte hai. unnecessary mail ko aap Delete kar sakte hai. esa karne se apka Mud fresh rahega.

Over planning :-

Kam ko khatm karne ke liye kabhi bhi Over planning nahi karna chahiye. Ek samay me ek hi kam ko kare. Esa karne se ap jo kam kar rahe hai, vah sahi hoga, yadi ap do kam ek sath karte hai to apka koi bhi kam sahi nahi hoga. Continuing meeting karne se achcha hai, ki apne pahli meeting me jo decide kiya hai, usi bat par Amal kare.

Shortcut :-

Office me kam karte huye apko apna time bachane ke liye Shortcut ka use karna chahiye. Apne Mobile me Automatic response message on rakhe, esa karne se apka time bhi bachta hai, our apko call karne vale ko samay rahte huye answer bhi mil jata hai.

Na kahna sikhe :-

Jaruri nahi hai, ki ham sabhi kam ko kar sakte hai.apko bhi jo kam ata hai sirf usi ki ha kare, jo kam apko nahi ate hai, unke liye ap mana kar dijiye. Jaruri nahi hai ki ap har samay har bat me sirf ha me hi answer de apko na kahna bhi sikhna hoga. apko apna kam apni ability ke anusar hi chunna chahiye.

Meeting issues ko jane :-

Office me jyadatar meeting bina kisi agenda ke hote hai. sabhi Meeting ko attend karne se pahle apko is bat ka pata lahahiye ki Office ka issu kya hai.

Social hona kabhi na bhule :-

Apke aas pas ke logo par iska bahut asar hota hai ki ap kis trah ka behaviour kar rahe hai. tej avaj our Raub jamane vale logo ko Office me p[asnd nahi kiya jata hai.

Stress le kar kam na kare :-

Kaam karte huye apko kabhi bhi Stress nahi lena chahiye. Esa karne se apka kaam easy hone ki jagah Difficult ho jata hai.

Computer ka rakhe dhyan :-

Office me apko apne Computer, laptop me sabhi chijo ko sahi taraf se rakhna chahiye, taki apko kam karne me asani ho our apka samay bhi bach jaye.

Aalsi hone se bache :-

kam ke doran kabhi bhi apko Aalsi nahi hona chahiye. Apne kam ke prti chhoti si galti apko bahut bhari bad sakti hai.

sahi Diet lena hai jaruri :-

Aaj kal ki Bhagdod vali jindgi me ham apni Diet par dhyan nahi dete hai.sahi Diet lena bhi hamare liye bahut jaruri hota hai.sahi Diet lene se hame Energy milti hai, jabki galat food khana hamare Energy Level ko kam kar sakta hai, isliye hame sahi Diet lena bahut jaruri hai.

Office me hamesha khush rahne ke liye our puri Energy ke sath kam karne ke liye hame apni Diet me kuchh esi cijo ko shamil karna chahiye, jisase hame Energy mile. Hame Junk food ko apni Diet se hata dena chahiye. Junk food me High calorie hoti hai, jinhe khane se hame din bhar alas ata hai.

Protein vali chijo ko kare apni Diet me shamil :-

Body ko pure samay Active rakhne ke liye hame apni Diet me Protein vali chijo ko shamil karna chahiye. Breakfast me Eggs, oats, sprouted pulses, soybeans, dry fruits or milk ko shamil kar sakte hai.

Fiber bhi hai jaruri :-

Office me din bhar khud ko health and fit rakhne ke liye Fiber ko bhi apne khane me shamil karna bahut jaruri hai.hame apne Breakfast and lunch me Salad and Green Vegetables ko lena chahiye. Esa karne se ham khud ko din bhar Refreshing mahsus karte hai.

Fruits jyada se jyada khaye :-

Office me kai bar Busy hone ke chalate ham sahi time par khana nahi khate hai. esi Condition me hame apne sath Fruits rakhna chahiye. Fruits hame Instant energy dete hai. ap apne sath Apple, Banana or Mausambi Fruits ko rakh sakte hai.

Pani ki kami na hone de :-

Hamari Body me sabse jyada pani hai. khud ko Energetic rakhne ke liye ek din me kam se kam 2 se 3 liters pani jarur pina chahiye. Jyada pani pine se hamari Body ke Toxins banahr nikal jate hai. jisase ham bade achche se kam kar sakte hai. Body me pani ki kami hone se Dulness mahsus hoti hai.

Office me new hai, kya kare?

Sabhi Office me kam karne ka tarika Different hota hai. yadi apne new Office Join kiya hai, to apko Office me kuchh bato ka dhyan rakhna bahut jaruri hai. jab ap apne Office me Stating me hi apna Impressions jama lete hai, to apki success ke Chance bahut bad jate hai. new Office me Stating ke dino me apko is tarah ka behaviour karna hota hai.

Apne Boss se Roj kare mulakat :-

New apko job me Stating me Regular apne boos se milna chahiye, yadi boos Office me nahi hai, to unhe call karna chahiye. Apke boos Busy hai, to apko unse milne ke liye ek chhoti si mulakat kare, our unhe apne kam ki jankari dena chahiye. Esa karne se apke boos apko is bat ki jankari de sakte hai ki ap klahi kuchh galat direction me to nahi ja rahe hai. yadi ap kuchh achcha kar rahe hai, to apka boos apki tariff karenge.

Kuchh different kare :-

New job ke Stating me mile apko Experiences ke anusar apko age ka Plan banana chahiye. Apko pure year ke liye Specific Professional Goals Set karna chahiye. apko apne sabhi Goals ko likh lena chahiye. ap chahe to Target sheet ready kar sakte hai.

Kam ke liye wait na kare :-

Apko jo kam Start karna hai, uske liye apko alag se Orders ka wait nahi karna chahiye. apni Image self starter ki banaye new job ke First week me apko Relax rahne ki bajaye apko Responsibility and Proactive se kam karna chahiye. Esa karne se apke kam ki tariff ki jayegi.

Notebook hamesha sath me rakhe :-

Jab bhi aap kahi bhi jaye to apne sath ek Notebook and pen jarur rakhe. Jo bat apko sahi lagti hai, use apni Notebook me note kar lena sahi hahi hota hai. Sabhi se Question kare, our unki kahi gai bato ko note kar le.aap apni Company se related Question kare. Office me Stating ke dino me apko kafi kuchh sikhne ko milta hai, isliye har bat ko note kar rakh le.isase apko kai tarah ke Idea ayenge.

Limelight se bache :-

Apne Office me kisi bhi Subject par jarurat se jyada na bole. Apko jyada se jyada sunane our sikhne ki koshish karna chahiye. khud ko smart ya Limelight me ane se apka Future pareshani me aa sakta hai.

Desk se chipke na rahe :-

Apni Desk se apko chipake nahi rahna hai, thode thode samay me apko apni Desk se uthkar aas pas ke logo se bat kar unke bare me janane ka pryas karna chahiye. Interpersonal bond ke liye Sociality bahut jaruri hai. On-board process and company activity seriousness lena chhaiye.

Politics se bachna chahiye :-

Kuchh log Office Politics me bahut jaldi hi Interest le lete hai. Isase vah apne Office me kai dushman bana lete hai.jo unke liye kafi Dangerous sabit ho sakta hai. Is Condition me apko kuchh log age badne nahi dete hai, our apki Success me kai tarah ki problem Create karte hai.

Decorative flowers na bane :-

Apko apne Office me Decorative flowers bhi nahi banana chahiye. chup rahne ke bajaye apko sabhi se bat karni chahiye. Office Team ke sath mil kar kam karna chahiye.

Fit ho jaye :-

New job ke First week me apko sabhi chijo me Expert ban jana chahiye. apko Company culture ke bare me apni samajh Developed karna chahiye. jab ap apni Company ke Social and Professional Practices ko apna lete hai, to apko vaha ka Staff bhi apko jald hi apna leta hai. Apko apne Office ke Written rules, unwritten policies, Working practice, Handling situations ko jald hi sikh lena chahiye.

Place Identify kare :-

Apko apne Office me kon si chij kaha rakhi hai, apko is bat ka pata hona chahiye. apko is bat ka pata hona chahiye ki apko print out kaha par milega. Launch ke liye apko kaha jana hoga. Office ke aas pas ke sthano ke bare me bhi apko pata hona chahiye. Medical Store & Workplace par pahuchne ke rasto ke bare me apko pata hona chahiye.

Apna Future talashe :-

Success ke apke liye kya mayne hai? Company me apne Role ka Conclusion kare. Yadi ap un situation ko nahi samjhte hai, jo apki Success ke liye jani jati hai, to apka Knowledge vyrth hai. Is Condition me apko apne Future ke bare me search karna chahiye. apko is bat ka pata hona chahiye, ki apki Life me Problem ane par ap sabse pahle kinse help magoge.

Apko apne Dreams ko pura karne ke liye kin-kin challenges ka samna karna padega. Apko in sab bato ka achchi tarah se dhyan hona bahut jaruri hai. jab aap Office me rahte hai, to apko apni taraf se sabhi kam sahi karna chahiye, taki apke kam par koi dusra vykti Objections na utha paye.

office mein Log Khud Ko alag mahsus kyo karte hai?

Office Mein Apna Talent Kaise Dikhayen?

क्या आपके Office में Boss ka बर्ताव खराब है?

एक्सीडेंट दिलाएगा Office से छुट्टी

Leave a Comment