Suryamitra Skill 2021 :- Surya Mitra Yojana Online Apply Kaise Kare?

Energy bachane ke liye central government lagatar pryas kar rahi rhai, jiske liye central government ne Solar sector ko badava diya hai. Solar power target ko government 5 guna adhik badaya hai. gaw me ham sabhi dekh sakte hai, ki vaha ke log kis tarah Energy bacha rahe hai.sath hi logo ko job bhi mili hai.

kaha jar aha hai ki ane vale samay me our bhi jyada Solar sector me logo ko jobs mil sakti hai. Indian government is Field me kafi help kar rahi hai. yadi ap is Field me job karna chahte hai, to Surya Mitra Scheme(surya mitra yojana) me ap apna Future bana sakte hai. aaj ham apko batayenge surya mitra yojanakya hai? surya mitra yojana online form kaise bhare?

surya mitra yojana kya hai? (what is surya mitra scheme)

central government solar energy ko badava dene ke liye kai plans Launch kiye hai, jinme solar charkha yojana, Solar panel se kisan apne kheto me electricity ka use sichai me karta hai. in sabhi ko dekhte huye hi government ne Surya Mitra Skill Development Scheme ko Launch kiya hai.

government ki is Scheme me solar energy ke shetr me Professional, Design, Skilled Labor, Maintenance etc Training se Solar Energy ko our jyada Developed karna hai. Solar Energy me business and Employment badta hi jar aha hai, jise dekhte huye government ne 50 thousand youth ko Free training de kar unke samne Surya Mitra Target rakha tha. Is process me 18 thousand Surya Mitra ban gaye hai. ab age ke Years ke liye government ne process Start kar di hai.

surya mitra yojana ka uddeshya kya hai? (Purpose of Surya Mitra Scheme)

Solar Energy Surya Mitra yojana me Solar power sector me sabhi Undergraduate youth ko Free training de kar Trained karna hai. jiske bad youth apna Business start kar sake, ya fir Solar Power Related Company me kahi bhi job hasil kar sake.

surya mitra yojana ka uddeshya sirf Solar power sector ke Scope ka development karna hai. solar energy se related Information ko Solar Sector Areas me trained youth ko badane ke liye central government Surya Mitra skill development program organized karti rahti hai.

Surya mitra yojana ka sanchalan (Surya Mitra Scheme Operation)

Surya mitra yojana sanchalan National solar energy institute ne State Nodal Agency ke sath country ke different regions me Surya Mitra skill development program organized kiye jate hai. jiski Sponsorship Ministry of New and Renewable Energy Indian government karti hai. is program me youth ko Free training ke sath rahne our khane ke Feature free diye jate hai.

Surya mitra yojana ki Eligibility (Surya Mitra Scheme Eligibility)

– Surya mitra yojana Training lene vale youth ki Age 18 years honi chahiye.
– Candidate 10th pass hona chhiye.
– ITI kiye huye log hi iska labh le sakte hai.
– Wireman, Electrician, Mechanic, Shit Metal, Fitter se ITI karne vale logo ko prathmikta di jati hai.
– Jin logo ke pas Electrician experience end Certificate hai, unhe yojana me prathmikta di jati hai.
– Surya Mitra skill development program qualification clear karne vale Student ko gramin kshetra me Unemployed young men ko prathmikta di jati hai.
– Surya mitra yojana ka labh High degree lene vale youth nahi kar sakte hai.

Surya mitra yojana ki Training (Training of Surya Mitra Scheme)

Surya Mitra Skill Development Scheme me 600 hours matlab 90 days ka Training Period hota hai. Training Period me kisi bhi vykti se rahne our khane ka fee nahi li jati hai.

Surya mitra yojana ka labh (Benefit of Surya Mitra yojana)

– Surya mitra yojana ki Trained lene ke bad youth self employment ban sakte hai. vah apna Business Start kar sakte hai.
– Surya Mitra Skill Development Program Certificate milne ke bad Yuva Solar Panel Manufacturing / Distribution company me foreign me bhi job le sakte hai.
– Is Process ke bad country me solar energy Areas ko badane me kafi madad milegi.
– Hamari country me New job opportunities available hone ke sath berojgari me bhi kami hogi.

Surya mitra yojana me Apply kaise kare (How to apply for Surya Mitra yojana)

Hamare Desh me Surya mitra yojana me Training lene ke liye National Solar Energy Institute ne 100 se jyada Training center open kiye huye hai. har koi apne state ke Surya mitra yojana Training center me Apply kar sakte hai.

Solar system training lene ke liye ap online Apply kar sakte hai. jiske bad ap training ki Process ko kar sakte hai. jab aap online Apply karte hai, to apke E mail ID par All information ko mail kar diya jata hai. Surya mitra yojana me Solar system training lene ke bad job karna chahe to kar sakte hai. Solar System Business Start karna chahte hai, to vah bhi kar sakte hai.

Surya Mitra Yojana Training me kya sikhaya jata hai ?

Surya Mitra Yojana Training me Yuva ko Load connection, Installation and design technology and component site analysis of solar systems, Government support end government policy information di jati hai. sabhi ko Training me practical training bhi di jati hai, taki vah har Point ko sahi tarah se samjh sake, our apna work Start kar sake.

Business information in Surya Mitra Yojana

Jab aap Solar training lete hai, to apko Solar information den eke sath Business strategy ki bhi information di jati hai.yadi ap information Future me Solar System Business Start karne ke bare me soch rahe hai, to apke liye ye training Important hone vali hai.

apko training me solar business Start karne ke bare me bataya jayega. Government apne anusar har taraf se Solar business promotion kar rahi hai. business Specifics ke bare me unhe Information di jati hai, taki yuva Future me easily tarike se solar business Start kar sake.

Surya Mitra Yojana Training Benefits :-

– Training process Complete hone ke bad yuva Apna Solar Business Start kar sakte hai.
– Training Complete karne ke bad yuva Government Solar Channel Partner bhi ban sakte hai.
– Training me yuva ko Operation and installation process end solar system Maintenance ke bare me Trend kiya jata hai.
– country me Solar plant set up our Panel manufacturing All companies me job kar sakte hai.

Surya mitra Mobile App kya hai? (What is Surya Mitra Mobile App)

Suryamitra Mobile App ko New and Renewable Energy Ministry ke Under ane vale Autonomous Institution National Solar Energy Institute Developed kiya hai. Suryamitra Mobile App Google play store par available hai, jaha se all over India me use kiya ja sakta hai.

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana kya hai,PMRY Loan Yojana Online Apply 2021

PM Kisan Samman Nidhi Yojana में आवेदन कैसे करें, लिस्ट में नाम कैसे चेक करें?

Kisan Credit Card kya hai, How to Online apply for KCC?

VID :- Aadhaar Virtual ID kya hai, Virtual ID kaise Banaye?

History of insurance :- Bima Kya Hai, Insurance Ka paisa Kaise milega?

Leave a Comment