How to open Aadhar Card Center 2021 :- Aadhar Card Center open kaise kare?

Aadhar Card aaj ke samay me ham sabhi ki jarurat ban gaya hai. bina Aadhar Card ke koi bhi kam nahi ho sakta hai. Indian Government ka bhi yahi kahna hai, ki sabhi ke pas Aadhar Card hona jaruri hai. Aadhar Card Registration ka kam har din badta hi ja raha hai.kai Operators Aadhar Card Registration center open kar kafi achchi kamai kar rahe hai.

Jab ham Aadhar Card banva lete hai, to bad me pata chalta hai, ki Aadhar Card me jo Details hai vah Incorrect hai. hame Aadhar Card ki Incorrect Details ko sahi karvane ke liye Aadhaar Registration Center jana padta hai. sath hi Aadhar Card ki Incorrect Details ko sahi karvane ke liye hame paise bhi dene padte hai. bahut se gaw ese hai jaha par Aadhaar Registration Center nahi hota hai, unhe apne Aadhar Card me sahi Information karvane ke liye kafi dur jana padta hai.

Yadi apke Gaw ya city me Aadhaar Card Registration Center nahi hai, to ap vaha par apna Aadhaar Card Registration Center open kar sakte hai. isase apki kafi achchi kamai bhi hogi, halaki apko Aadhaar Card Registration Center open karne ke liye License and Certificate bhi lena hoga. aj ham apko batayenge ki ap Aadhar Card Center kaise khole? Aadhaar card certificate kaise banwaye?

Aadhar Card Center kaise open Kare? (How to open aadhar card center)

Aadhar Card Center kholne ke liye apke pas khud ka Aadhar Card hona jaruri hai. agar apke pas apna Aadhar Card nahi hai, to ap Aadhar Card Center nahi khol sakte hai. yadi apke pas Aadhar Card hai, to ap Aadhar Card Center ke liye apply kar sakte hai. Step by step samjhiye Aadhar Card Center ke liye apply kaise karte hai?

– Sabse pahle apko uidai.nseitexams.com Website open karna hoga.
– Create new user par Click kare.
– Ab apke samne new Form open hoga.

Personal information :-

– Apni Email ID Enter kare.
– Mobile Number Enter kare.
– Secret Question Select kare.
– Secret Question ka answer Select kare.
– Password Set kare.
– Confirm password ke liye Set Password ko ek bar fir Type kare.
– Image Text ko right Fill kare.
– Now, Submit ko Enter kare.
– Jab ap Submit par Click karenge, to apka Aadhar Operator account ready ho jayega.
– Aadhar Operator account ka User ID and Password apke mobile number par Send kar diya jayega.
– Ab apke samne ek new Page open hoga.
– New Page par apko Please click here to login par Click karna hai.
– Ab apke samne Login page open hoga, jaha apko apna User ID and Password Enter kar Login karna hoga.
– User ID and Password pahle hi apke mobile number par Send kar diya gaya hai.
– Login karne ke bad apke samne jo page open hoga us par apko Continue par click karna hai.
– Ab apke samne ek new Page me Form open hoga.vaha apko apni sabhi details ko Fill karna hai. and me apko Save / Update par Click karte huye Continue par Click karna hai.
– Ab apke samne New Page open hoga, jaha apko Photo upload karna hai.dhyan rahe ki ap jo Photo upload kar rahe hai, vah 3 months se jyada old Photo na ho. Apko Photo size 30 kb se jyada nahi hona chahiye.

tips for uploading photos :-

– Sabse pahle apko choose file par click kar 30 kb size ka Photo Select kare.
– Upload par Click kijiye.
– Continue par Click kare.
– Jis tarah apne apni Photo upload ki hai, usi tarah ab apko apne Signature upload karne hai.
– Ab apko ye sab Process karne ke bad challan payment karna hai, jiske bare me ham age detail se janenge.

Challan Payment Receipt kaise nikale?

– Sabse pahle ap uidai.nseitexams.com website par Menu bar me Payment Option par Click kare.
– Bank name choose kare.
– Ab apko Please click here to generate reciept option par Click kare .
– Apko vaha par 3 receipt show hogi.
– Apko 3 receipt ko download kar apni bank me jaye our 365 rupees ke sath vah 3 receipt ko jama deposit kar de.
– Bank me 365 rupees our 3 receipt deposit karne ke bad apko bank 2 receipt dega jinhe apko sambhal kar rakhna hai.
– Bank me apko receipt deposit karne ke bad Challan number mil jayega.jise apko yaha par Inter karna hai.
– challan deposit karne ki date Inter kare.
– Apni Branch ka name dale.
– Branch code Inter kare, Branch code apko challan par mil jayega.
– Ab apko receipt ke sath deposit kiye gaya Amount Inter karna hai, yane ki apko 365 rupees Inter karna hai.
– Now, submit par click kar de.

challan payment karne ke 24 hour apko uidai.nseitexams.com Website ko ek bar fir login karna hai. apne sabse Nearby Exam Center ka Selection kare.sath hi Date & Time select kar submit par click kar de. Apka admit card ready ho jayega, ap use download kar sakte hai. jab ap Exam Center par jaye to sath me apna Admit Card and Identity Card ko jarur le kar jaye. Apke dvara di gai Examination ke 30 minutes ke bad hi apko Aadhar Operator certificate mil jayega. Jiske bad ap apna Aadhar card center khol sakte hai.

Important Things of Aadhar Card Center?

– Aadhaar Registration Center apko kisi Government place par hi kholna hoga.
– Registration center me apko Cctv cameras lagvana hoga.
– Jab ap kisi ka Aadhar card banate hai, to apko sabhi documents ko sahi se Upload karna hoga.
– Aadhar card banane ke liye kabhi bhi koi fake kam na kare.
– Sahi vykti ki Photo le, kisi tarah ki koi fake Photo na le.

Yadi ap inme se kisi bhi bat ka Violation karte huye paye jate hai, to apka Aadhar card center band kar diya ja sakta hai.our apka License bhi usi samay cancel kar diya jayega.us samay apki kisi bhi tarh ka Statement nahi suna jayega.

Bank ko open karna the Aadhar card center

Uidai sabhi Private place se Aadhar card center ko band karva kar ye kam bank me Start karvana chahti thi. Esa hua bhi lekin Uidai ka target bank Complete nahi kar pai jiske liye Uidai ne bank par Lakho rupaye ki penalty lagai thi. Kisi bank par 87 lakh to kisi bank par 45 lakh rupye ki penalty lagai gai thi. Sirf SBI and PNB Bank ne hi apna target Complete kiya tha.

Bank Target :- 

– Uidai ke anusar sabhi banko ko apni 8 branch me se kisi ek branch me Aadhar Card banane ka kam kisi bhi kimat par Start karna hoga.
– Uidai ne bank ko Target diya tha ki, apko every day 8 new enrollments ya updates kisi bhi kimat par karne hi honge.

Starting me to sabhi Bank employees ne is bat se inkar kar diya tha lekin, unki to ek bhi nahi chali kyo ki unko Uidai ki bat our Tums and conditions ko Accept karna hi tha. Jab banko ke pas Aadhar card center chalane ke liye Equipment and operator ki kami ho to, apko ye sunhara moka mil jata hai.

opportunity for Operator Supervisor and VLE

Apke pas bhi ye moka hai, ki ap Aadhar card center open kar use chala sakte hai. aiye jante hai, ap kis tarah is moke ka fayda utha sakte hai.

– Jo log pahle se hi Aadhar card banane ka kam kar rahe hai, yadfi vah is kam me Active ya black list hai, to unke liye achcha ye best opportunity hai.
– Bank hi apka Registrar our apki agency hogi.
– Apka Credential bank me hi banega. Bank hi apke Credential ko chalu kar sakega.

Aadhaar enrollment center open kaun kar sakta hai?

Jis vykti ke pas Uidai ki manyata prapt hai, Aadhar card ka kam karne ke liye unke pas Operator / supervisor certificate hai, to vah Aadhar enrollment center khol kar Aadhar card ka kam kar sakte hai.

Aadhar Enrollment Center kaise open kare?

Ab taka p samjh to gaye honge ki apko Aadhar related kam bank me hi ho sakta hai. apko apne pas ke bank me jana hoga. bank me Aadhar Center kholne ke liye apko Bank manager se contact karna hoga. Bank employees se is bare me bat karni hogi. Apko unhe is bat ko samjhana hoga, ki ap bank me Uidai guidelines ke anusar Aadhar card ka kam Start karna chahte hai. apke pas All important documents bhi hai. Uidai guidelines ke anusar Aadhar card ka kam sirf bank me hi ho sakta hai. isliye vah bank me Aadhar Enrollment Center kholna chahte hai. apko bank ko batana hoga ki apke pas Aadhar Enrollment Center ko chalane ke liye sabhi important our jaruri equipment bhi hai. bank apki sabhi bato ko sun kar age ki process Start karti hai. bank apko Credential deti hai, jisme ap apna kam bank me rahkar Start kar sakte hai. bank ki Permission milne ke bad ap bank me Aadhar Card banane ka kam shuru kar sakte hai.

Aadhar Card Center kholne ke liye kya chahiye? (Documents required to open Aadhar Card Center)

– UIDAI certificate
– Aadhar card
– Pan card
– Laptop
– Printer
– Iris scanner
– Fingerprint scanner
– GPS tracker
– etc.

Rules of aadhar card center :-

Aadhar Card Center kholne ke bad kai log Uidai guidelines ka palan nahi karte hai, jiske chalate unka Aadhar Card Center ko band kar diya gaya hai.ap bhi ye galti kabhi na kare, varna apka bhi Aadhar Card Center band ho sakta hai.

– Aadhar Card Center par CCTV Camera nahi la.ga hona.
– Aadhaar Card Software me Document sahi tarah se Upload nahi karna.
– Aadhar Card Center Government place par na hona.
– Aadhaar Card me sahi Photo Upload nahi karna.
– Fake Government work karna.

Nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye?

Aadhar Card Status : Naam Se Aadhar Card Status Kaise Check Kare?

Credit Card Kya Hota Hai, Online Credit Card Apply Kaise Kare?

Kisan Credit Card kya hai, How to Online apply for KCC?

Online PAN Card-Aadhaar Card Kaise Link Kare?

Leave a Comment