Whatsapp Number Change : Data Delete Kiye Bina Whatsapp Number Kaise Change Kare?

Whatsapp Ham Sabhi Chalate Hai Aur Wahtsapp Par Hamara Dher Sara Data Hota Hai. Lekin Kabhi-Kabhi Jab Ham Whatsapp Number Change Kar Dete Hai To Hamara Sara Data Delete Ho Jata Hai. Agar Aapke Sath Bhi Yahi Problem Hoti Hai To Iska Ek Solution Hai Jo Aap Is Article Me Padh Payenge.

Whatsapp Number Change Kaise Kare?

Aap Bina Apne Mobile Ka Data Delete Kiya Ya Whatsapp Ko Uninstall Kiye Bina Apne Whatsapp Ka Number Change Kar Sakte Hai. Iska Process Kafi Aasan Hai Aur Kai Log Ise Jaante Bhi Hai. Aap Bhi Apne Naye Number Ko Bina Data Delete Kiya Change Kar Sakte Hai.

Whatsapp Number Change Process?

– Sabse Pahli Baat To Ye Dhyan Rakhe Ki Aapke Paas Number Change Karte Waqt Purana Aur Naya Dono Numbere Chalu Hona Chahiye Aur Aapke Paas Hona Chahiye.

– Whatsapp Number Change Karne Ke Liye Aapko Sabse Pahle Setting Me Jana Hoga.

– Fir Aapko Account Par Click Karna Hai.

– Iske Baad Aapko ‘Change Number’ Ka Option Dikhai Dega. Aapko Us Par Click Karna Hai.

– Isme Sabse Pahle Aapse Aapka Purana Number Manga Jayega Jis Se Aap Whatsapp Chala Rahe Hai.

– Purana Number Daalne Ke Baad Aapse Aapka Naya Number Manga Jayega.

– Dono Number Daalne Ke Baad Aapke Mobile Par Verfication Ke Liye Ek OTP Aayega Use Yaha Fill Kare.

– Bas Ho Gaya Aapka Mobile Number Change.

Is Tarah Aap Aasani Se Apna Whatsapp Number Change Kar Sakte Hai. Iske Darne Wali Koi Baat Nahi Hai Kyunki Is Process Me Aapka Data Delete Nahi Hoga. Aapki Sari Chat, Photo, Video Sab Safe Rahenge.

Aadhar Card Status : Naam Se Aadhar Card Status Kaise Check Kare?

Whatsapp Audio Feature : Whatsapp Par Ek Sath 30 Audio Files Kaise Bheje?

LED TV Ko Mobile Se Kaise Connect Kare

Mobile Se Document Kaise Scan Kare

Laptop To Laptop Data Transfer Kaise Karte Hai?

Name Ringtone Maker Apne Naam Ki Ringtone Kaise Banaye?

Leave a Comment