Whatsapp Audio Feature : Whatsapp Par Ek Sath 30 Audio Files Kaise Bheje?

Whatsapp Har Wo Insaan Chalata Hai Jiske Pass Smartphone Hai. Whatsapp Me Waise To Kai Feature Add Hote Rahte Hai Lekin Haal Hi Me Ek Khaas Feature Add Hua Hai Jo Aapke Bade Kaam Ka Hai. Whatsapp Par Ab Aap Ek Saath 30 Audio Files Bhej Sakte Hai. Whatsapp Audio File Aap Kis Tarah Bhej Sakte Hai Iska Pura Process Is Article Me Aap Padhenge.

Whatsapp Audio Files Kaise Bheje

Whatsapp Ne Bich Me Multimedia Files Bhejne Par Ban Laga Dia Tha. Aap Ek Bar Me Bahut Sari Files Ko Nahi Bhej Paa Rahe The Lekin Ab Whatsapp Ne Ek Feature Add Kia Hai Jiske Karan Aap Ek Baar Me 30 Audio Files Bhej Sakte Hai.

Ek Saath 30 Audio Files Whatsapp Par Kaise Bhej?

Whatsapp Par 30 Audio Files Ek Sath Bhejne Ke Liye Aapko Whatsapp Ka Latest Beta Version 2.19.89 Ko Download Karke Install Karna Hoga. Whatsapp Ke Is Latest Version Me Aapko Ye Wala Feature Milega. Ise Kaise Use Karna Hai Iska Process Step By Step Aap Niche Samjh Sakte Hai.

– Sabse Pahle To Aap Whatsapp Beta 2.19.89 Ko Intall Kare.
– Iske Baad Usme Apni Chat Window Par Jaye.
– Iske Baad Attachment Par Click Kare.
– Attachment Me Aap Un 30 Mp3 Files Ya Audio Files Ko Select Kare.
– Iske Baad Send Par Click Kare.

To Is Tarah Aap Aasani Se Ek Saath 30 Audio Files Whatsapp Par Bhej Sakte Hai. Aapko Iske Liye Koi Jyada Change Nahi Karne Hai. Bas Apna Whatsapp Update Karna Hai Agar Aapke Paas Beta Version Nahi Hai To Use Install Karna Hai. Aapka Kaam Ho Jayega.

LED TV Ko Mobile Se Kaise Connect Kare

Mobile Se Document Kaise Scan Kare

Laptop To Laptop Data Transfer Kaise Karte Hai?

Name Ringtone Maker Apne Naam Ki Ringtone Kaise Banaye?

Mobile Hang Problem Solution In Hindi

Photo Ka Background Kaise Badle, Free Background Remover Tool

Computer Me Folder Lock Kaise Kare

Leave a Comment