Without Internet Smartphone Use

Phale Ek Jamana Hua Karta Tha Jab Log Internet Ke Bare Me Jyada Nahi Jaante The Aur Mobile Me Bhi Internet Ka Istemaal Nahi Karte The. Lekin Aaj Har Din Mobile Par Internet Ka Istemaal Kiya Jata Hai. Kabhi-Kabhi Jab Hamara Internet Khatm Ho Jata Hai To Ham Sochte Hai Ki Ab Is Dibbe Ka Kya Kare. To Tention Mat Lijiye Kai Kaam Hai Mobile Par Jinhe Aap Internet Ke Bina Bhi Kar Sakte Hai Aur Inse Aapka Accha-Khasa Timepass Ho Jayega.

GPS Ka Istemaal Kare

Ham Aksar Apne Phone Me Map Ka Use Kisi Location Ko Janne Ke Liye Karte Hai Lekin Map Ka Use Hamesha Internet Se Hi Hota Hai. Aap Chahe To GPS Ka Use Karke Bina Internet Ke Bhi Us Location Ka Use Kar Sakte Hai. Isme Aapka Data Kharch Nahi Hota.

Video Dekhe

Aapka Data Kab Khatm Hone Wala Hai Ye Baat Hamesha Aapko Pata Hoti Hai To Aise Me Aap Pahle Se Hi Kai Plateform Par Apne Timepass Ke Liye Video Download Karke Rakh Sakte Hai. Maan Lijye Aap Youtube Dekhte Hai To Yaha Koi Acchi Video Lagi To Use Offline Mode Par Download Kar Le Aur Jab Aapka Data Khatm Ho Jaye To Ise Dekhe.

Music Sun Sakte Hai

Agar Aapka Data Khatm Ho Gaya Hai To Video Ki Tarah Aap Music Bhi Offline Mode Me Sun Sakte Hai. Lekin Iske Liye Bhi Aapko Pahle Se Hi Un Songs Ko Download Karna Hota Hai. Aajkal Sare Online Music App Aapko Ye Suvidha Dete Hai.

Multiplayer Game Khel Sakte Hai

Aajkal Har Koi Mobile Par Game Khelta Hai. Aise Me Aap Kuch Aise Games Apne Paas Rakhe Jo Multiplyer Game Ho. Inhe Aap Apne Hotspot Ki Madad Se Khel Sakte Hai. Wahi Bina Internet Ke Aapke Sath Dusre Log Bhi Is Game Ko Khel Sakte Hai.

Set Up New Smartphone, Naye Smartphone Ko Safe Kaise Rakhe?

Pan Card Online Apply : Online PAN Card Ke Liye Kaise Apply Kare?

Gmail Smart Compose Aur Gmail Smart Reply Kya Hai

Data Delete Kiye Bina Whatsapp Number Kaise Change Kare?

LED TV Ko Mobile Se Kaise Connect Kare

Mobile Se Document Kaise Scan Kare

Leave a Comment