Pan Card Online Apply : Online PAN Card Ke Liye Kaise Apply Kare?

PAN Card Aaj Ek Aisa Document Ban Gaya Hai Jo Har Us Vyakti Ke Liye Jaruri Ban Gaya Hai Jo Kahi Job Kar Raha Hai. Kyonki PAN Card Aajkal Kai Kamo Me Use Hone Laga Hai. PAN Card Banwane Ke Liye Kai Log Agent Ka Sahara Lete Hai Lekin Aapko Bata De Ki PAN Card Ke Liye Aap Khud Bhi Online Apply Kar Sakte Hai.

PAN Card Online Apply

-PAN Card Banwane Ke Liye Sabse Pahle To Aapko Iski Official Website Par Jana Hoga.

https://www.pan.utiitsl.com/PAN/
https://www.onlineservies.nsdl.com/paam/endUserRegisterContact.html

– Yaha Par Aapko “Apply As An Indian Citizen/NRI” Par Click Karna Hai.

– Iske Baad PAN Card Application Form Open Hoga.

– Iske Baad PAN Card Application Form Me Mangi Gai Sari Jaankari Aapko Fill Karna Saawdhani Ke Sathi.

– Iske Baad Aapko Form Ko Submit Karna Hai.

– Form Submit Karne Ke Baad Payment Ka Option Aayega. Jitna Payment Waha Batya Jaa Raha Hai Utna Aapko Payment Karna Hai.

– Payment Ka Bhugtaan Karne Ke Liye Aap Debit Card Ya Credit Card Kisi Ka Bhi Use Kar Sakte Hai.

Yaha Agar Aapki Application Accept Ho Jati Hai To Is Bhare Hue Form Ka Print Out Nikale Aur Apne Document Ki Photocopy Ke Sath NSDL Ke Address Par Bheje. Dhyan Rahe Ki Form Par Aapki Sign Hona Chahiye. Bina Sign Kiye Hue Document NSDL Aage Nahi Badate.

Form Bhejne Ke Kuch Dino Ke Andar Aapka PAN Card Aapke Ghar Aa Jayega. Iske Status Ko Aap Online Chek Kar Sakte Hai. Saath Hi Aapke Mobile Par Bhi Iski Jaankari Massage Ke Madhyam Se Aati Rahti Hai.

Google Map पर पता डालना है, फॉलो करें ये प्रोसेस

बस डायल करें ये Number और तुरंत देखे अपना Bank Balance

घर बैठे मिलेगा 1 लाख रूपये तक का लोन, जानिए कैसे

जानिए क्या है NEFT, RTGS, IMPS Net Banking

ये 8 योजनायें जो बेटियों भविष्य कर देगी उज्ज्वल

सिर्फ 99 रुपए में कमाए लाखो, करे यह काम

Leave a Comment